5 Us waqt Yarūshalam meṅ aise ḳhudātars Yahūdī ṭhahre hue the jo āsmān tale kī har qaum meṅ se the. 6 Jab yih āwāz sunāī dī to ek baṛā hujūm jamā huā. Sab ghabrā gae kyoṅki har ek ne īmāndāroṅ ko apnī mādarī zabān meṅ bolte sunā. 7 Saḳht hairatzadā ho kar wuh kahne lage, “Kyā yih sab Galīl ke rahne wāle nahīṅ haiṅ? 8 To phir yih kis tarah ho saktā hai ki ham meṅ se har ek unheṅ apnī mādarī zabān meṅ bāteṅ karte sun rahā hai 9 jabki hamāre mamālik yih haiṅ: Pārthiyā, Mādiyā, Ailām, Masoputāmiyā, Yahūdiyā, Kappadukiyā, Puntus, Āsiyā, 10 Farūgiyā, Pamfīliyā, Misr aur Libiyā kā wuh ilāqā jo Kuren ke irdgird hai. Rom se bhī log maujūd haiṅ. 11 Yahāṅ Yahūdī bhī haiṅ aur Ġhairyahūdī naumurīd bhī, Krete ke log aur Arab ke bāshinde bhī. Aur ab ham sab ke sab in ko apnī apnī zabān meṅ Allāh ke azīm kāmoṅ kā zikr karte sun rahe haiṅ.” 12 Sab dang rah gae. Uljhan meṅ paṛ kar wuh ek dūsre se pūchhne lage, “Is kā kyā matlab hai?”
13 Lekin kuchh log un kā mazāq uṛā kar kahne lage, “Yih bas naī mai pī kar nashe meṅ dhut ho gae haiṅ.”
17 ‘Allāh farmātā hai ki āḳhirī dinoṅ meṅ
18 Un dinoṅ meṅ
19 Maiṅ ūpar āsmān par mojize dikhāūṅgā
20 Sūraj tārīk ho jāegā,
21 Us waqt jo bhī Rab kā nām legā
22 Isrāīl ke mardo, merī bāt suneṅ! Allāh ne āp ke sāmne hī Īsā Nāsarī kī tasdīq kī, kyoṅki us ne us ke wasīle se āp ke darmiyān ajūbe, mojize aur ilāhī nishān dikhāe. Āp ḳhud is bāt se wāqif haiṅ. 23 Lekin Allāh ko pahle hī ilm thā ki kyā honā hai, kyoṅki us ne ḳhud apnī marzī se muqarrar kiyā thā ki Īsā ko dushman ke hawāle kar diyā jāe. Chunāṅche āp ne bedīn logoṅ ke zariye use salīb par chaṛhwā kar qatl kiyā. 24 Lekin Allāh ne use maut kī aziyatnāk girift se āzād karke zindā kar diyā, kyoṅki mumkin hī nahīṅ thā ki maut use apne qabze meṅ rakhe. 25 Chunāṅche Dāūd ne us ke bāre meṅ kahā,
26 Is lie merā dil shādmān hai,
27 Kyoṅki tū merī jān ko Pātāl meṅ nahīṅ chhoṛegā,
28 Tū ne mujhe zindagī kī rāhoṅ se āgāh kar diyā hai,
29 Mere bhāiyo, agar ijāzat ho to maiṅ āp ko dilerī se apne buzurg Dāūd ke bāre meṅ kuchh batāūṅ. Wuh to faut ho kar dafnāyā gayā aur us kī qabr āj tak hamāre darmiyān maujūd hai. 30 Lekin wuh nabī thā aur jāntā thā ki Allāh ne qasam khā kar mujh se wādā kiyā hai ki wuh merī aulād meṅ se ek ko mere taḳht par biṭhāegā. 31 Mazkūrā āyāt meṅ Dāūd mustaqbil meṅ dekh kar Masīh ke jī uṭhne kā zikr kar rahā hai, yānī ki na use Pātāl meṅ chhoṛā gayā, na us kā badan galne-saṛne kī naubat tak pahuṅchā. 32 Allāh ne isī Īsā ko zindā kar diyā hai aur ham sab is ke gawāh haiṅ. 33 Ab use sarfarāz karke Ḳhudā ke dahne hāth biṭhāyā gayā aur Bāp kī taraf se use mau'ūdā Rūhul-quds mil gayā hai. Isī ko us ne ham par unḍel diyā, jis tarah āp dekh aur sun rahe haiṅ. 34 Dāūd ḳhud to āsmān par nahīṅ chaṛhā, to bhī us ne farmāyā,
35 jab tak maiṅ tere dushmanoṅ ko
36 Chunāṅche pūrā Isrāīl yaqīn jāne ki jis Īsā ko āp ne maslūb kiyā hai use hī Allāh ne Ḳhudāwand aur Masīh banā diyā hai.”
37 Patras kī yih bāteṅ sun kar logoṅ ke dil chhid gae. Unhoṅ ne Patras aur bāqī rasūloṅ se pūchhā, “Bhāiyo, phir ham kyā kareṅ?”
38 Patras ne jawāb diyā, “Āp meṅ se har ek taubā karke Īsā ke nām par baptismā le tāki āp ke gunāh muāf kar die jāeṅ. Phir āp ko Rūhul-quds kī nemat mil jāegī. 39 Kyoṅki yih dene kā wādā āp se aur āp ke bachchoṅ se kiyā gayā hai, balki un se bhī jo dūr ke haiṅ, un sab se jinheṅ Rab hamārā Ḳhudā apne pās bulāegā.”
40 Patras ne mazīd bahut-sī bātoṅ se unheṅ nasīhat kī aur samjhāyā ki “Is ṭeṛhī nasl se nikal kar najāt pāeṅ.” 41 Jinhoṅ ne Patras kī bāt qabūl kī un kā baptismā huā. Yoṅ us din jamāt meṅ taqrīban 3,000 afrād kā izāfā huā. 42 Yih īmāndār rasūloṅ se tālīm pāne, rifāqat rakhne aur rifāqatī khānoṅ aur duāoṅ meṅ sharīk hote rahe.