Link to home pageLanguagesLink to all Bible versions on this site
16
Tīmuthiyus kā Chunāo
1 Chalte chalte wuh Dirbe pahuṅchā, phir Lustrā. Wahāṅ ek shāgird banām Tīmuthiyus rahtā thā. Us kī Yahūdī māṅ īmān lāī thī jabki bāp Yūnānī thā. 2 Lustrā aur Ikuniyum ke bhāiyoṅ ne us kī achchhī riporṭ dī, 3 is lie Paulus use safr par apne sāth le jānā chāhtā thā. Us ilāqe ke Yahūdiyoṅ kā lihāz karke us ne Tīmuthiyus kā ḳhatnā karwāyā, kyoṅki sab log is se wāqif the ki us kā bāp Yūnānī hai. 4 Phir shahr bashahr jā kar unhoṅ ne maqāmī jamātoṅ ko Yarūshalam ke rasūloṅ aur buzurgoṅ ke wuh faisle pahuṅchāe jin ke mutābiq zindagī guzārnī thī. 5 Yoṅ jamāteṅ īmān meṅ mazbūt huīṅ aur tādād meṅ roz baroz baṛhtī gaīṅ.
Troās meṅ Paulus kī Royā
6 Rūhul-quds ne unheṅ sūbā Āsiyā meṅ kalām-e-muqaddas kī munādī karne se rok liyā, is lie wuh Farūgiyā aur Galatiyā ke ilāqe meṅ se guzare. 7 Mūsiyā ke qarīb ā kar unhoṅ ne shimāl kī taraf sūbā Bithuniyā meṅ dāḳhil hone kī koshish kī. Lekin Īsā ke Rūh ne unheṅ wahāṅ bhī jāne na diyā, 8 is lie wuh Mūsiyā meṅ se guzar kar bandargāh Troās pahuṅche. 9 Wahāṅ Paulus ne rāt ke waqt royā dekhī jis meṅ shimālī Yūnān meṅ wāqe sūbā Makiduniyā kā ek ādmī khaṛā us se iltamās kar rahā thā, “Samundar ko pār karke Makiduniyā āeṅ aur hamārī madad kareṅ!” 10 Jyoṅ hī us ne yih royā dekhī ham Makiduniyā jāne kī taiyāriyāṅ karne lage. Kyoṅki ham ne royā se yih natījā nikālā ki Allāh ne hameṅ us ilāqe ke logoṅ ko ḳhushḳhabrī sunāne ke lie bulāyā hai.
Filippī meṅ Ludiyā kī Tabdīlī
11 Ham Troās meṅ jahāz par sawār ho kar sīdhe Jazīrā-e-Samutrāke ke lie rawānā hue. Phir agle din āge nikal kar Nayāpulis pahuṅche. 12 Wahāṅ jahāz se utar kar ham Filippī chale gae. Jo sūbā Makiduniyā ke us zile kā sadr shahr thā aur Romī nauābādī thā. Is shahr meṅ ham kuchh din ṭhahre. 13 Sabat ke din ham shahr se nikal kar dariyā ke kināre gae. Jahāṅ hamārī tawaqqo thī ki Yahūdī duā ke lie jamā hoṅge. Wahāṅ ham baiṭh kar kuchh ḳhawātīn se bāt karne lage jo ikaṭṭhī huī thīṅ. 14 Un meṅ se Thuātīrā Shahr kī ek aurat thī jis kā nām Ludiyā thā. Us kā peshā qīmtī arġhawānī rang ke kapṛe kī tijārat thā aur wuh Allāh kī parastish karne wālī Ġhairyahūdī thī. Ḳhudāwand ne us ke dil ko khol diyā, aur us ne Paulus kī bātoṅ par tawajjuh dī. 15 Us ke aur us ke ghar wāloṅ ke baptismā lene ke bād us ne hameṅ apne ghar meṅ ṭhaharne kī dāwat dī. Us ne kahā, “Agar āp samajhte haiṅ ki maiṅ wāqaī Ḳhudāwand par īmān lāī hūṅ to mere ghar ā kar ṭhahreṅ.” Yoṅ us ne hameṅ majbūr kiyā.
Filippī kī Jel Meṅ
16 Ek din ham duā kī jagah kī taraf jā rahe the ki hamārī mulāqāt ek launḍī se huī jo ek badrūh ke zariye logoṅ kī qismat kā hāl batātī thī. Is se wuh apne mālikoṅ ke lie bahut-se paise kamātī thī. 17 Wuh Paulus aur hamāre pīchhe paṛ kar chīḳh chīḳh kar kahne lagī, “Yih ādmī Allāh T'ālā ke ḳhādim haiṅ jo āp ko najāt kī rāh batāne āe haiṅ.” 18 Yih silsilā roz baroz jārī rahā. Āḳhirkār Paulus tang ā kar muṛā aur badrūh se kahā, “Maiṅ tujhe Īsā Masīh ke nām se hukm detā hūṅ ki laṛkī meṅ se nikal jā!” Usī lamhe wuh nikal gaī.

19 Us ke mālikoṅ ko mālūm huā ki paise kamāne kī ummīd jātī rahī to wuh Paulus aur Sīlās ko pakaṛ kar chauk meṅ baiṭhe iqtidār rakhne wāloṅ ke sāmne ghasīṭ le gae. 20 Unheṅ majisṭreṭoṅ ke sāmne pesh karke wuh chillāne lage, “Yih ādmī hamāre shahr meṅ halchal paidā kar rahe haiṅ. Yih Yahūdī haiṅ 21 aur aise rasm-o-riwāj kā prachār kar rahe haiṅ jinheṅ qabūl karnā aur adā karnā ham Romiyoṅ ke lie jāyz nahīṅ.” 22 Hujūm bhī ā milā aur Paulus aur Sīlās ke ḳhilāf bāteṅ karne lagā.

Is par majisṭreṭoṅ ne hukm diyā ki un ke kapṛe utāre aur unheṅ lāṭhī se mārā jāe. 23 Unhoṅ ne un kī ḳhūb piṭāī karwā kar unheṅ qaidḳhāne meṅ ḍāl diyā aur dāroġhe se kahā ki ehtiyāt se un kī pahrādārī karo. 24 Chunāṅche us ne unheṅ jel ke sab se andarūnī hisse meṅ le jā kar un ke pāṅw kāṭh meṅ ḍāl die.

25 Ab aisā huā ki Paulus aur Sīlās ādhī rāt ke qarīb duā kar rahe aur Allāh kī tamjīd ke gīt gā rahe the aur bāqī qaidī sun rahe the. 26 Achānak baṛā zalzalā āyā aur qaidḳhāne kī pūrī imārat buniyādoṅ tak hil gaī. Fauran tamām darwāze khul gae aur tamām qaidiyoṅ kī zanjīreṅ khul gaīṅ. 27 Dāroġhā jāg uṭhā. Jab us ne dekhā ki jel ke darwāze khule haiṅ to wuh apnī talwār nikāl kar ḳhudkushī karne lagā, kyoṅki aisā lag rahā thā ki qaidī farār ho gae haiṅ. 28 Lekin Paulus chillā uṭhā, “Mat kareṅ! Apne āp ko nuqsān na pahuṅchāeṅ. Ham sab yihīṅ haiṅ.”

29 Dāroġhe ne charāġh mangwā liyā aur bhāg kar andar āyā. Larazte larazte wuh Paulus aur Sīlās ke sāmne gir gayā. 30 Phir unheṅ bāhar le jā kar us ne pūchhā, “Sāhibo, mujhe najāt pāne ke lie kyā karnā hai?”

31 Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ḳhudāwand Īsā par īmān lāeṅ to āp aur āp ke gharāne ko najāt milegī.” 32 Phir unhoṅ ne use aur us ke tamām ghar wāloṅ ko Ḳhudāwand kā kalām sunāyā. 33 Aur rāt kī usī ghaṛī dāroġhe ne unheṅ le jā kar un ke zaḳhmoṅ ko dhoyā. Is ke bād us kā aur us ke sāre ghar wāloṅ kā baptismā huā. 34 Phir us ne unheṅ apne ghar meṅ lā kar khānā khilāyā. Allāh par īmān lāne ke bāis us ne aur us ke tamām ghar wāloṅ ne baṛī ḳhushī manāī.

35 Jab din chaṛhā to majisṭreṭoṅ ne apne afsaroṅ ko dāroġhe ke pās bhijwā diyā ki wuh Paulus aur Sīlās ko rihā kare.

36 Chunāṅche dāroġhe ne Paulus ko un kā paiġhām pahuṅchā diyā, “Majisṭreṭoṅ ne hukm diyā hai ki āp aur Sīlās ko rihā kar diyā jāe. Ab nikal kar salāmatī se chale jāeṅ.”

37 Lekin Paulus ne etarāz kiyā. Us ne un se kahā, “Unhoṅ ne hameṅ awām ke sāmne hī aur adālat meṅ pesh kie baġhair mār kar jel meṅ ḍāl diyā hai hālāṅki ham Romī shahrī haiṅ. Aur ab wuh hameṅ chupke se nikālnā chāhte haiṅ? Hargiz nahīṅ! Ab wuh ḳhud āeṅ aur hameṅ bāhar le jāeṅ.”

38 Afsaroṅ ne majisṭreṭoṅ ko yih ḳhabar pahuṅchāī. Jab unheṅ mālūm huā ki Paulus aur Sīlās Romī shahrī haiṅ to wuh ghabrā gae. 39 Wuh ḳhud unheṅ samjhāne ke lie āe aur jel se bāhar lā kar guzārish kī ki shahr ko chhoṛ deṅ. 40 Chunāṅche Paulus aur Sīlās jel se nikal āe. Lekin pahle wuh Ludiyā ke ghar gae jahāṅ wuh bhāiyoṅ se mile aur un kī hauslā-afzāī kī. Phir wuh chale gae.

<- Āmāl 15Āmāl 17 ->