3 Masīh Īsā ke achchhe sipāhī kī tarah hamāre sāth dukh uṭhāte raheṅ. 4 Jis sipāhī kī ḍyūṭī hai wuh ām riāyā ke muāmalāt meṅ phaṅsne se bāz rahtā hai, kyoṅki wuh apne afsar ko pasand ānā chāhtā hai. 5 Isī tarah khel ke muqābale meṅ hissā lene wāle ko sirf is sūrat meṅ inām mil saktā hai ki wuh qawāyd ke mutābiq hī muqābalā kare. 6 Aur lāzim hai ki fasal kī kaṭāī ke waqt pahle us ko fasal kā hissā mile jis ne khet meṅ mehnat kī hai. 7 Us par dhyān denā jo maiṅ āp ko batā rahā hūṅ, kyoṅki Ḳhudāwand āp ko in tamām bātoṅ kī samajh atā karegā.
8 Masīh Īsā ko yād rakheṅ, jo Dāūd kī aulād meṅ se hai aur jise murdoṅ meṅ se zindā kar diyā gayā. Yihī merī ḳhushḳhabrī hai 9 jis kī ḳhātir maiṅ dukh uṭhā rahā hūṅ, yahāṅ tak ki mujhe ām mujrim kī tarah zanjīroṅ se bāndhā gayā hai. Lekin Allāh kā kalām zanjīroṅ se bāndhā nahīṅ jā saktā. 10 Is lie maiṅ sab kuchh Allāh ke chune hue logoṅ kī ḳhātir bardāsht kartā hūṅ tāki wuh bhī najāt pāeṅ—wuh najāt jo Masīh Īsā se miltī hai aur jo abadī jalāl kā bāis bantī hai. 11 Yih qaul qābil-e-etamād hai,
12 Agar ham bardāsht karte raheṅ
13 Agar ham bewafā nikleṅ
20 Baṛe gharoṅ meṅ na sirf sone aur chāṅdī ke bartan hote haiṅ balki lakaṛī aur miṭṭī ke bhī. Yānī kuchh sharīf kāmoṅ ke lie istemāl hote haiṅ aur kuchh kamqadar kāmoṅ ke lie. 21 Agar koī apne āp ko in burī chīzoṅ se pāk-sāf kare to wuh sharīf kāmoṅ ke lie istemāl hone wālā bartan hogā. Wuh maḳhsūs-o-muqaddas, mālik ke lie mufīd aur har nek kām ke lie taiyār hogā. 22 Jawānī kī burī ḳhāhishāt se bhāg kar rāstbāzī, īmān, muhabbat aur sulah-salāmatī ke pīchhe lage raheṅ. Aur yih un ke sāth mil kar kareṅ jo ḳhulūsdilī se Ḳhudāwand kī parastish karte haiṅ. 23 Hamāqat aur jahālat kī bahsoṅ se kinārā kareṅ. Āp to jānte haiṅ ki in se sirf jhagaṛe paidā hote haiṅ. 24 Lāzim hai ki Ḳhudāwand kā ḳhādim na jhagaṛe balki har ek se mehrbānī kā sulūk kare. Wuh tālīm dene ke qābil ho aur sabar se ġhalat sulūk bardāsht kare. 25 Jo muḳhālafat karte haiṅ unheṅ wuh narmdilī se tarbiyat de, kyoṅki ho saktā hai ki Allāh unheṅ taubā karne kī taufīq de aur wuh sachchāī ko jān leṅ, 26 hosh meṅ āeṅ aur Iblīs ke phande se bach nikleṅ. Kyoṅki Iblīs ne unheṅ qaid kar liyā hai tāki wuh us kī marzī pūrī kareṅ.
<- 2 Tīmuthiyus 12 Tīmuthiyus 3 ->