6 Wuh gandum gāhne kī ek jagah par pahuṅch gae jis ke mālik kā nām Nakon thā. Wahāṅ bail achānak beqābū ho gae. Uzzā ne jaldī se Allāh kā sandūq pakaṛ liyā tāki wuh gir na jāe. 7 Usī lamhe Rab kā ġhazab us par nāzil huā, kyoṅki us ne Allāh ke sandūq ko chhūne kī jurrat kī thī. Wahīṅ Allāh ke sandūq ke pās hī Uzzā gir kar halāk ho gayā. 8 Dāūd ko baṛā ranj huā ki Rab kā ġhazab Uzzā par yoṅ ṭūṭ paṛā hai. Us waqt se us jagah kā nām Paraz-uzzā yānī ‘Uzzā par Ṭūṭ Paṛnā’ hai.
9 Us din Dāūd ko Rab se ḳhauf āyā. Us ne sochā, “Rab kā sandūq kis tarah mere pās pahuṅch sakegā?” 10 Chunāṅche us ne faislā kiyā ki ham Rab kā sandūq Yarūshalam nahīṅ le jāeṅge balki use Obed-adom jātī ke ghar meṅ mahfūz rakheṅge. 11 Wahāṅ wuh tīn māh tak paṛā rahā.
16 Rab kā sandūq Dāūd ke shahr meṅ dāḳhil huā to Dāūd kī bīwī Mīkal bint Sāūl khiṛkī meṅ se julūs ko dekh rahī thī. Jab bādshāh Rab ke huzūr kūdtā aur nāchtā huā nazar āyā to Mīkal ne dil meṅ use haqīr jānā.
17 Rab kā sandūq us tambū ke darmiyān meṅ rakhā gayā jo Dāūd ne us ke lie lagwāyā thā. Phir Dāūd ne Rab ke huzūr bhasm hone wālī aur salāmatī kī qurbāniyāṅ pesh kīṅ. 18 Is ke bād us ne qaum ko Rabbul-afwāj ke nām se barkat de kar 19 har Isrāīlī mard aur aurat ko ek roṭī, khajūr kī ek ṭikkī aur kishmish kī ek ṭikkī de dī. Phir tamām log apne apne gharoṅ ko wāpas chale gae.
20 Dāūd bhī apne ghar lauṭā tāki apne ḳhāndān ko barkat de kar salām kare. Wuh abhī mahal ke andar nahīṅ pahuṅchā thā ki Mīkal nikal kar us se milne āī. Us ne tanzan kahā, “Wāh jī wāh. Āj Isrāīl kā bādshāh kitnī shān ke sāth logoṅ ko nazar āyā hai! Apne logoṅ kī launḍiyoṅ ke sāmne hī us ne apne kapṛe utār die, bilkul usī tarah jis tarah gaṅwār karte haiṅ.” 21 Dāūd ne jawāb diyā, “Maiṅ Rab hī ke huzūr nāch rahā thā, jis ne āp ke bāp aur us ke ḳhāndān ko tark karke mujhe chun liyā aur Isrāīl kā bādshāh banā diyā hai. Usī kī tāzīm meṅ maiṅ āindā bhī nāchūṅgā. 22 Hāṅ, maiṅ is se bhī zyādā zalīl hone ke lie taiyār hūṅ. Jahāṅ tak launḍiyoṅ kā tālluq hai, wuh zarūr merī izzat kareṅgī.”
23 Jīte-jī Mīkal beaulād rahī.
<- 2 Samuel 52 Samuel 7 ->- a Ibrānī meṅ is se murād jhunjhune jaisā koī sāz hai.