4 Dāūd 30 sāl kī umr meṅ bādshāh ban gayā. Us kī hukūmat 40 sāl tak jārī rahī. 5 Pahle sāṛhe sāt sāl wuh sirf Yahūdāh kā bādshāh thā aur us kā dārul-hukūmat Habrūn rahā. Bāqī 33 sāl wuh Yarūshalam meṅ rah kar Yahūdāh aur Isrāīl donoṅ par hukūmat kartā rahā.
7 To bhī Dāūd ne Siyyūn ke qile par qabzā kar liyā jo ājkal ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai. 8 Jis din unhoṅ ne shahr par hamlā kiyā us ne elān kiyā, “Jo bhī Yabūsiyoṅ par fatah pānā chāhe use pānī kī surang meṅ se guzar kar shahr meṅ ghusnā paṛegā tāki un langaṛoṅ aur andhoṅ ko māre jin se merī jān nafrat kartī hai.” Is lie āj tak kahā jātā hai, “Langaṛoṅ aur andhoṅ ko ghar meṅ jāne kī ijāzat nahīṅ.”
9 Yarūshalam par fatah pāne ke bād Dāūd qile meṅ rahne lagā. Us ne use ‘Dāūd kā Shahr’ qarār diyā aur us ke irdgird shahr ko baṛhāne lagā. Yih tāmīrī kām irdgird ke chabūtaroṅ se shurū huā aur hote hote qile tak pahuṅch gayā.
10 Yoṅ Dāūd zor pakaṛtā gayā, kyoṅki Rabbul-afwāj us ke sāth thā.
13 Habrūn se Yarūshalam meṅ muntaqil hone ke bād Dāūd ne mazīd bīwiyoṅ aur dāshtāoṅ se shādī kī. Natīje meṅ Yarūshalam meṅ us ke kaī beṭe-beṭiyāṅ paidā hue. 14 Jo beṭe wahāṅ paidā hue wuh yih the: Sammua, Sobāb, Nātan, Sulemān, 15 Ibhār, Ilīsua, Nafaj, Yafīa, 16 Ilīsamā, Ilyadā aur Ilīfalat.
18 Jab Filistī Isrāīl meṅ pahuṅch kar Wādī-e-Rafāīm meṅ phail gae 19 to Dāūd ne Rab se dariyāft kiyā, “Kyā maiṅ Filistiyoṅ par hamlā karūṅ? Kyā tū mujhe un par fatah baḳhshegā?” Rab ne jawāb diyā, “Hāṅ, un par hamlā kar! Maiṅ unheṅ zarūr tere qabze meṅ kar dūṅgā.” 20 Chunāṅche Dāūd apne faujiyoṅ ko le kar Bāl-parāzīm gayā. Wahāṅ us ne Filistiyoṅ ko shikast dī. Bād meṅ us ne gawāhī dī, “Jitne zor se band ke ṭūṭ jāne par pānī us se phūṭ nikaltā hai utne zor se āj Rab mere deḳhte deḳhte dushman kī safoṅ meṅ se phūṭ niklā hai.” Chunāṅche us jagah kā nām Bāl-parāzīm yānī ‘Phūṭ Nikalne kā Mālik’ paṛ gayā. 21 Filistī apne but chhoṛ kar bhāg gae. Aur wuh Dāūd aur us ke ādmiyoṅ ke qabze meṅ ā gae.
22 Ek bār phir Filistī ā kar Wādī-e-Rafāīm meṅ phail gae. 23 Jab Dāūd ne Rab se dariyāft kiyā to us ne jawāb diyā, “Is martabā un kā sāmnā mat karnā balki un ke pīchhe jā kar bakā ke daraḳhtoṅ ke sāmne un par hamlā kar. 24 Jab un daraḳhtoṅ kī choṭiyoṅ se qadmoṅ kī chāp sunāī de to ḳhabardār! Yih is kā ishārā hogā ki Rab ḳhud tere āge āge chal kar Filistiyoṅ ko mārne ke lie nikal āyā hai.”
25 Dāūd ne aisā hī kiyā aur natīje meṅ Filistiyoṅ ko shikast de kar Jibaūn se le kar Jazar tak un kā tāqqub kiyā.
<- 2 Samuel 42 Samuel 6 ->