1 Sāūl ke beṭe Ishbosat aur Dāūd ke darmiyān yih jang baṛī der tak jārī rahī. Lekin āhistā āhistā Dāūd zor pakaṛtā gayā jabki Ishbosat kī tāqat kam hotī gaī.
7 Lekin ek din Ishbosat Abinair se nārāz huā, kyoṅki wuh Sāūl marhūm kī ek dāshtā se hambistar ho gayā thā. Aurat kā nām Risfā bint Aiyāh thā. Ishbosat ne shikāyat kī, “Āp ne mere bāp kī dāshtā se aisā sulūk kyoṅ kiyā?” 8 Abinair baṛe ġhusse meṅ ā kar garjā, “Kyā maiṅ Yahūdāh kā kuttā [a] hūṅ ki āp mujhe aisā rawaiyā dikhāte haiṅ? Āj tak maiṅ āp ke bāp ke gharāne aur us ke rishtedāroṅ aur dostoṅ ke lie laṛtā rahā hūṅ. Merī hī wajah se āp ab tak Dāūd ke hāth se bache rahe haiṅ. Kyā yih is kā muāwazā hai? Kyā ek aisī aurat ke sabab se āp mujhe mujrim ṭhahrā rahe haiṅ? 9-10 Allāh mujhe saḳht sazā de agar ab se har mumkin koshish na karūṅ ki Dāūd pūre Isrāīl aur Yahūdāh par bādshāh ban jāe, shimāl meṅ Dān se le kar junūb meṅ Bair-sabā tak. Āḳhir Rab ne ḳhud qasam khā kar Dāūd se wādā kiyā hai ki maiṅ bādshāhī Sāūl ke gharāne se chhīn kar tujhe dūṅgā.”
11 Yih sun kar Ishbosat Abinair se itnā ḍar gayā ki mazīd kuchh kahne kī jurrat jātī rahī.
13 Dāūd ne jawāb diyā, “Ṭhīk hai, maiṅ āp ke sāth muāhadā kartā hūṅ. Lekin ek hī shart par, āp Sāūl kī beṭī Mīkal ko jo merī bīwī hai mere ghar pahuṅchāeṅ, warnā maiṅ āp se nahīṅ milūṅgā.” 14 Dāūd ne Ishbosat ke pās bhī qāsid bhej kar taqāzā kiyā, “Mujhe merī bīwī Mīkal jis se shādī karne ke lie maiṅ ne sau Filistiyoṅ ko mārā wāpas kar deṅ.” 15 Ishbosat mān gayā. Us ne hukm diyā ki Mīkal ko us ke maujūdā shauhar Faltiyel bin Lais se le kar Dāūd ko bhejā jāe. 16 Lekin Faltiyel use chhoṛnā nahīṅ chāhtā thā. Wuh rote rote Bahūrīm tak apnī bīwī ke pīchhe chaltā rahā. Tab Abinair ne us se kahā, “Ab jāo! Wāpas chale jāo!” Tab wuh wāpas chalā.
17 Abinair ne Isrāīl ke buzurgoṅ se bhī bāt kī, “Āp to kāfī der se chāhte haiṅ ki Dāūd āp kā bādshāh ban jāe. 18 Ab qadam uṭhāne kā waqt ā gayā hai! Kyoṅki Rab ne Dāūd se wādā kiyā hai, ‘Apne ḳhādim Dāūd se maiṅ apnī qaum Isrāīl ko Filistiyoṅ aur bāqī tamām dushmanoṅ ke hāth se bachāūṅgā.’ ” 19 Yihī bāt Abinair ne Binyamīn ke buzurgoṅ ke pās jā kar bhī kī. Is ke bād wuh Habrūn meṅ Dāūd ke pās āyā tāki us ke sāmne Isrāīl aur Binyamīn ke buzurgoṅ kā faislā pesh kare.
20 Bīs ādmī Abinair ke sāth Habrūn pahuṅch gae. Un kā istiqbāl karke Dāūd ne ziyāfat kī. 21 Phir Abinair ne Dāūd se kahā, “Ab mujhe ijāzat deṅ. Maiṅ apne āqā aur bādshāh ke lie tamām Isrāīl ko jamā kar lūṅgā tāki wuh āp ke sāth ahd bāndh kar āp ko apnā bādshāh banā leṅ. Phir āp us pūre mulk par hukūmat kareṅge jis tarah āp kā dil chāhtā hai.” Phir Dāūd ne Abinair ko salāmatī se ruḳhsat kar diyā.
26 Yoāb ne darbār se nikal kar qāsidoṅ ko Abinair ke pīchhe bhej diyā. Wuh abhī safr karte karte Sīrā ke hauz par se guzar rahā thā ki qāsid us ke pās pahuṅch gae. Un kī dāwat par wuh un ke sāth wāpas gayā. Lekin bādshāh ko is kā ilm na thā. 27 Jab Abinair dubārā Habrūn meṅ dāḳhil hone lagā to Yoāb shahr ke darwāze meṅ us kā istiqbāl karke use ek taraf le gayā jaise wuh us ke sāth koī ḳhufiyā bāt karnā chāhtā ho. Lekin achānak us ne apnī talwār ko miyān se khīṅch kar Abinair ke peṭ meṅ ghoṅp diyā. Is tarah Yoāb ne apne bhāī Asāhel kā badlā le kar Abinair ko mār ḍālā.
28 Jab Dāūd ko is kī ittalā milī to us ne elān kiyā, “Maiṅ Rab ke sāmne qasam khātā hūṅ ki bequsūr hūṅ. Merā Abinair kī maut meṅ hāth nahīṅ thā. Is nāte se mujh par aur merī bādshāhī par kabhī bhī ilzām na lagāyā jāe, 29 kyoṅki Yoāb aur us ke bāp kā gharānā qusūrwār haiṅ. Rab use aur us ke bāp ke gharāne ko munāsib sazā de. Ab se abad tak us kī har nasl meṅ koī na koī ho jise aise zaḳhm lag jāeṅ jo bhar na pāeṅ, kisī ko koṛh lag jāe, kisī ko baisākhiyoṅ kī madad se chalnā paṛe, koī ġhairtabaī maut mar jāe, yā kisī ko ḳhurāk kī musalsal kamī rahe.” 30 Yoṅ Yoāb aur us ke bhāī Abīshai ne apne bhāī Asāhel kā badlā liyā. Unhoṅ ne Abinair ko is lie qatl kiyā ki us ne Asāhel ko Jibaūn ke qarīb laṛte waqt maut ke ghāṭ utār diyā thā.
34 “Hāy, Abinair kyoṅ bedīn kī tarah mārā gayā? Tere hāth bandhe hue na the, tere pāṅw zanjīroṅ meṅ jakaṛe hue na the. Jis tarah koī sharīroṅ ke hāth meṅ ā kar mar jātā hai usī tarah tū halāk huā.”
- a Lafzī tarjumā: kutte kā sar