7 Āḳhaz ne apne qāsidoṅ ko Asūr ke bādshāh Tiglat-pilesar ke pās bhej kar use ittalā dī, “Maiṅ āp kā ḳhādim aur beṭā hūṅ. Mehrbānī karke āeṅ aur mujhe Shām aur Isrāīl ke bādshāhoṅ se bachāeṅ jo mujh par hamlā kar rahe haiṅ.” 8 Sāth sāth Āḳhaz ne wuh chāṅdī aur sonā jamā kiyā jo Rab ke ghar aur shāhī mahal ke ḳhazānoṅ meṅ thā aur use tohfe ke taur par Asūr ke bādshāh ko bhej diyā. 9 Tiglat-pilesar rāzī ho gayā. Us ne Damishq par hamlā karke shahr par qabzā kar liyā aur us ke bāshindoṅ ko giriftār karke Qīr ko le gayā. Razīn ko us ne qatl kar diyā.
12 Jab bādshāh wāpas āyā to us ne naī qurbāngāh kā muāynā kiyā. Phir us kī sīṛhī par chaṛh kar 13 us ne ḳhud qurbāniyāṅ us par pesh kīṅ. Bhasm hone wālī qurbānī aur ġhallā kī nazar jalā kar us ne mai kī nazar qurbāngāh par unḍel dī aur salāmatī kī qurbāniyoṅ kā ḳhūn us par chhiṛak diyā.
14 Rab ke ghar aur naī qurbāngāh ke darmiyān ab tak pītal kī purānī qurbāngāh thī. Ab Āḳhaz ne use uṭhā kar Rab ke ghar ke sāmne se muntaqil karke naī qurbāngāh ke pīchhe yānī shimāl kī taraf rakhwā diyā. 15 Ūriyāh Imām ko us ne hukm diyā, “Ab se āp ko tamām qurbāniyoṅ ko naī qurbāngāh par pesh karnā hai. In meṅ subh-o-shām kī rozānā qurbāniyāṅ bhī shāmil haiṅ aur bādshāh aur ummat kī muḳhtalif qurbāniyāṅ bhī, masalan bhasm hone wālī qurbāniyāṅ aur ġhallā aur mai kī nazareṅ. Qurbāniyoṅ ke tamām ḳhūn ko bhī sirf naī qurbāngāh par chhiṛaknā hai. Āindā pītal kī purānī qurbāngāh sirf mere zātī istemāl ke lie hogī jab mujhe Allāh se kuchh dariyāft karnā hogā.” 16 Ūriyāh Imām ne waisā hī kiyā jaisā bādshāh ne use hukm diyā.
17 Lekin Āḳhaz Bādshāh Rab ke ghar meṅ mazīd tabdīliyāṅ bhī lāyā. Hathgāṛiyoṅ ke jin fremoṅ par bāsan rakhe jāte the unheṅ toṛ kar us ne bāsanoṅ ko dūr kar diyā. Is ke alāwā us ne ‘Samundar’ nāmī baṛe hauz ko pītal ke un bailoṅ se utār diyā jin par wuh shurū se paṛā thā aur use patthar ke ek chabūtare par rakhwā diyā. 18 Us ne Asūr ke bādshāh ko ḳhush rakhne ke lie ek aur kām bhī kiyā. Us ne Rab ke ghar se wuh chabūtarā dūr kar diyā jis par bādshāh kā taḳht rakhā jātā thā aur wuh darwāzā band kar diyā jo bādshāh Rab ke ghar meṅ dāḳhil hone ke lie istemāl kartā thā.
19 Bāqī jo kuchh Āḳhaz kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. 20 Jab wuh mar kar apne bāpdādā se jā milā to use Yarūshalam ke us hisse meṅ jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai ḳhāndānī qabr meṅ dafnāyā gayā. Phir us kā beṭā Hizqiyāh taḳhtnashīn huā.
<- 2 Salātīn 152 Salātīn 17 ->