2 Yūhannā
1 Yih ḳhat buzurg Yūhannā kī taraf se hai.
3 Ḳhudā Bāp aur Bāp kā Farzand Īsā Masīh hameṅ fazl, rahm aur salāmatī atā kare. Aur yih chīzeṅ sachchāī aur muhabbat kī rūh meṅ hameṅ hāsil hoṅ.
7 Kyoṅki bahut-se aise log duniyā meṅ nikal khaṛe hue haiṅ jo āp ko sahīh rāh se haṭāne kī koshish meṅ lage rahte haiṅ. Yih log nahīṅ mānte ki Īsā Masīh mujassam ho kar āyā hai. Har aisā shaḳhs fareb dene wālā aur muḳhālif-e-Masīh hai. 8 Chunāṅche ḳhabardār raheṅ. Aisā na ho ki āp ne jo kuchh mehnat karke hāsil kiyā hai wuh jātā rahe balki Ḳhudā kare ki āp ko is kā pūrā ajr mil jāe.
9 Jo bhī Masīh kī tālīm par qāym nahīṅ rahtā balki is se āge nikal jātā hai us ke pās Allāh nahīṅ. Jo Masīh kī tālīm par qāym rahtā hai us ke pās Bāp bhī hai aur Farzand bhī. 10 Chunāṅche agar koī āp ke pās ā kar yih tālīm pesh nahīṅ kartā to na use apne gharoṅ meṅ āne deṅ, na us ko salām kareṅ. 11 Kyoṅki jo us ke lie salāmatī kī duā kartā hai wuh us ke sharīr kāmoṅ meṅ sharīk ho jātā hai.
13 Āp kī chunīdā bahan ke bachche āp ko salām kahte haiṅ.