8 Merī taraf se yih koī hukm nahīṅ hai. Lekin dūsroṅ kī sargarmī ke pesh-e-nazar maiṅ āp kī bhī muhabbat parakh rahā hūṅ ki wuh kitnī haqīqī hai. 9 Āp to jānte haiṅ ki hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh ne āp par kaisā fazl kiyā hai, ki agarche wuh daulatmand thā to bhī wuh āp kī ḳhātir ġharīb ban gayā tāki āp us kī ġhurbat se daulatmand ban jāeṅ.
10 Is muāmale meṅ merā mashwarā suneṅ, kyoṅki wuh āp ke lie mufīd sābit hogā. Pichhle sāl āp pahlī jamāt the jo na sirf hadiyā dene lagī balki ise denā bhī chāhtī thī. 11 Ab use takmīl tak pahuṅchāeṅ jo āp ne shurū kar rakhā hai. Dene kā jo shauq āp rakhte haiṅ wuh amal meṅ lāyā jāe. Utnā deṅ jitnā āp de sakeṅ. 12 Kyoṅki agar āp dene kā shauq rakhte haiṅ to phir Allāh āp kā hadiyā us binā par qabūl karegā jo āp de sakte haiṅ, us binā par nahīṅ jo āp nahīṅ de sakte.
13 Kahne kā matlab yih nahīṅ ki dūsroṅ ko ārām dilāne ke bāis āp ḳhud musībat meṅ paṛ jāeṅ. Bāt sirf yih hai ki logoṅ ke hālāt kuchh barābar hone chāhieṅ. 14 Is waqt to āp ke pās bahut hai aur āp un kī zarūrat pūrī kar sakte haiṅ. Bād meṅ kisī waqt jab un ke pās bahut hogā to wuh āp kī zarūrat bhī pūrī kar sakeṅge. Yoṅ āp ke hālāt kuchh barābar raheṅge, 15 jis tarah kalām-e-muqaddas meṅ bhī likhā hai, “Jis ne zyādā jamā kiyā thā us ke pās kuchh na bachā. Lekin jis ne kam jamā kiyā thā us ke pās bhī kāfī thā.”
20 Kyoṅki us baṛe hadiye ke pesh-e-nazar jo ham le jāeṅge ham is se bachnā chāhte haiṅ ki kisī ko ham par shak karne kā mauqā mile. 21 Hamārī pūrī koshish yih hai ki wuhī kuchh kareṅ jo na sirf Ḳhudāwand kī nazar meṅ durust hai balki insān kī nazar meṅ bhī.
22 Un ke sāth ham ne ek aur bhāī ko bhī bhej diyā jis kī sargarmī ham ne kaī mauqoṅ par parkhī hai. Ab wuh mazīd sargarm ho gayā hai, kyoṅki wuh āp par baṛā etamād kartā hai. 23 Jahāṅ tak Titus kā tālluq hai, wuh merā sāthī aur hamḳhidmat hai. Aur jo bhāī us ke sāth haiṅ unheṅ jamātoṅ ne bhejā hai. Wuh Masīh ke lie izzat kā bāis haiṅ. 24 Un par apnī muhabbat kā izhār karke yih zāhir kareṅ ki ham āp par kyoṅ faḳhr karte haiṅ. Phir yih bāt Ḳhudā kī dīgar jamātoṅ ko bhī nazar āegī.
<- 2 Kurinthiyoṅ 72 Kurinthiyoṅ 9 ->