7 Īd kī ḳhushī meṅ Yūsiyāh ne īd manāne wāloṅ ko apnī milkiyat meṅ se 30,000 bheṛ-bakriyoṅ ke bachche die. Yih jānwar Fasah kī qurbānī ke taur par chaṛhāe gae jabki bādshāh kī taraf se 3,000 bail dīgar qurbāniyoṅ ke lie istemāl hue. 8 Is ke alāwā bādshāh ke afsaroṅ ne bhī apnī ḳhushī se qaum, imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ko jānwar die. Allāh ke ghar ke sab se ālā afsaroṅ Ḳhilqiyāh, Zakariyāh aur Yihiyel ne dīgar imāmoṅ ko Fasah kī qurbānī ke lie 2,600 bheṛ-bakriyoṅ ke bachche die, nīz 300 bail. 9 Isī tarah Lāwiyoṅ ke rāhnumāoṅ ne dīgar Lāwiyoṅ ko Fasah kī qurbānī ke lie 5,000 bheṛ-bakriyoṅ ke bachche die, nīz 500 bail. Un meṅ se tīn bhāī banām Kūnaniyāh, Samāyāh aur Nataniyel the jabki dūsroṅ ke nām Hasbiyāh, Ya'iyel aur Yūzabad the. 10 Jab har ek ḳhidmat ke lie taiyār thā to imām apnī apnī jagah par aur Lāwī apne apne gurohoṅ ke mutābiq khaṛe ho gae jis tarah bādshāh ne hidāyat dī thī. 11 Lāwiyoṅ ne Fasah ke leloṅ ko zabah karke un kī khāleṅ utārīṅ jabki imāmoṅ ne Lāwiyoṅ se jānwaroṅ kā ḳhūn le kar qurbāngāh par chhiṛkā. 12 Jo kuchh bhasm hone wālī qurbāniyoṅ ke lie muqarrar thā use qaum ke muḳhtalif ḳhāndānoṅ ke lie ek taraf rakh diyā gayā tāki wuh use bād meṅ Rab ko qurbānī ke taur par pesh kar sakeṅ, jis tarah Mūsā kī sharīat meṅ likhā hai. Bailoṅ ke sāth bhī aisā hī kiyā gayā. 13 Fasah ke leloṅ ko hidāyāt ke mutābiq āg par bhūnā gayā jabki bāqī gosht ko muḳhtalif qism kī degoṅ meṅ ubālā gayā. Jyoṅ hī gosht pak gayā to Lāwiyoṅ ne use jaldī se hāzirīn meṅ taqsīm kiyā. 14 Is ke bād unhoṅ ne apne aur imāmoṅ ke lie Fasah ke lele taiyār kie, kyoṅki Hārūn kī aulād yānī imām bhasm hone wālī qurbāniyoṅ aur charbī ko chaṛhāne meṅ rāt tak masrūf rahe.
15 Īd ke pūre daurān Āsaf ke ḳhāndān ke gulūkār apnī apnī jagah par khaṛe rahe, jis tarah Dāūd, Āsaf, Haimān aur bādshāh ke ġhaibbīn Yadūtūn ne hidāyat dī thī. Darbān bhī Rab ke ghar ke darwāzoṅ par musalsal khaṛe rahe. Unheṅ apnī jaghoṅ ko chhoṛne kī zarūrat bhī nahīṅ thī, kyoṅki bāqī Lāwiyoṅ ne un ke lie bhī Fasah ke lele taiyār kar rakhe. 16 Yoṅ us din Yūsiyāh ke hukm par qurbāniyoṅ ke pūre intazām ko tartīb diyā gayā tāki āindā Fasah kī Īd manāī jāe aur bhasm hone wālī qurbāniyāṅ Rab kī qurbāngāh par pesh kī jāeṅ.
17 Yarūshalam meṅ jamā hue Isrāīliyoṅ ne Fasah kī Īd aur Beḳhamīrī Roṭī kī Īd ek hafte ke daurān manāī. 18 Fasah kī Īd Isrāīl meṅ Samuel Nabī ke zamāne se le kar us waqt tak is tarah nahīṅ manāī gaī thī. Isrāīl ke kisī bhī bādshāh ne use yoṅ nahīṅ manāyā thā jis tarah Yūsiyāh ne use us waqt imāmoṅ, Lāwiyoṅ, Yarūshalam aur tamām Yahūdāh aur Isrāīl se āe hue logoṅ ke sāth mil kar manāī. 19 Yūsiyāh Bādshāh kī hukūmat ke 18weṅ sāl meṅ pahlī dafā Rab kī tāzīm meṅ aisī īd manāī gaī.
22 Lekin Yūsiyāh bāz na āyā balki laṛne ke lie taiyār huā. Us ne Nikoh kī bāt na mānī go Allāh ne use us kī mārifat āgāh kiyā thā. Chunāṅche wuh bhes badal kar Firaun se laṛne ke lie Majiddo ke maidān meṅ pahuṅchā. 23 Jab laṛāī chhiṛ gaī to Yūsiyāh tīroṅ se zaḳhmī huā, aur us ne apne mulāzimoṅ ko hukm diyā, “Mujhe yahāṅ se le jāo, kyoṅki maiṅ saḳht zaḳhmī ho gayā hūṅ.” 24 Logoṅ ne use us ke apne rath par se uṭhā kar us ke ek aur rath meṅ rakhā jo use Yarūshalam le gayā. Lekin us ne wafāt pāī, aur use apne bāpdādā ke ḳhāndānī qabristān meṅ dafn kiyā gayā. Pūre Yahūdāh aur Yarūshalam ne us kā mātam kiyā.
25 Yarmiyāh ne Yūsiyāh kī yād meṅ mātamī gīt likhe, aur āj tak gīt gāne wāle mard-o-ḳhawātīn Yūsiyāh kī yād meṅ mātamī gīt gāte haiṅ, yih pakkā dastūr ban gayā hai. Yih gīt ‘Nohā kī Kitāb’ meṅ darj haiṅ.
26-27 Bāqī jo kuchh shurū se le kar āḳhir tak Yūsiyāh kī hukūmat ke daurān huā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh-o-Isrāīl’ kī kitāb meṅ bayān kiyā gayā hai. Wahāṅ us ke nek kāmoṅ kā zikr hai aur yih ki us ne kis tarah sharīat ke ahkām par amal kiyā.
<- 2 Tawārīḳh 342 Tawārīḳh 36 ->