10 Go Rab ne Manassī aur apnī qaum ko samjhāyā, lekin unhoṅ ne parwā na kī. 11 Tab Rab ne Asūrī bādshāh ke kamānḍaroṅ ko Yahūdāh par hamlā karne diyā. Unhoṅ ne Manassī ko pakaṛ kar us kī nāk meṅ nakel ḍālī aur use pītal kī zanjīroṅ meṅ jakaṛ kar Bābal le gae. 12 Jab wuh yoṅ musībat meṅ phaṅs gayā to Manassī Rab apne Ḳhudā kā ġhazab ṭhanḍā karne kī koshish karne lagā aur apne āp ko apne bāpdādā ke Ḳhudā ke huzūr past kar diyā.
13 Aur Rab ne us kī iltamās par dhyān de kar us kī sunī. Use Yarūshalam wāpas lā kar us ne us kī hukūmat bahāl kar dī. Tab Manassī ne jān liyā ki Rab hī Ḳhudā hai.
14 Is ke bād us ne ‘Dāūd ke Shahr’ kī bairūnī fasīl nae sire se banwāī. Yih fasīl Jaihūn Chashme ke maġhrib se shurū huī aur Wādī-e-Qidron meṅ se guzar kar Machhlī ke Darwāze tak pahuṅch gaī. Is dīwār ne Rab ke ghar kī pūrī pahāṛī banām Ofal kā ihātā kar liyā aur bahut buland thī. Is ke alāwā bādshāh ne Yahūdāh ke tamām qilāband shahroṅ par faujī afsar muqarrar kie. 15 Us ne ajnabī mābūdoṅ ko but samet Rab ke ghar se nikāl diyā. Jo qurbāngāheṅ us ne Rab ke ghar kī pahāṛī aur bāqī Yarūshalam meṅ khaṛī kī thīṅ unheṅ bhī us ne ḍhā kar shahr se bāhar phaiṅk diyā. 16 Phir us ne Rab kī qurbāngāh ko nae sire se tāmīr karke us par salāmatī aur shukrguzārī kī qurbāniyāṅ chaṛhāīṅ. Sāth sāth us ne Yahūdāh ke bāshindoṅ se kahā ki Rab Isrāīl ke Ḳhudā kī ḳhidmat kareṅ. 17 Go log is ke bād bhī ūṅchī jaghoṅ par apnī qurbāniyāṅ pesh karte the, lekin ab se wuh inheṅ sirf Rab apne Ḳhudā ko pesh karte the.
18 Bāqī jo kuchh Manassī kī hukūmat ke daurān huā wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. Wahāṅ us kī apne Ḳhudā se duā bhī bayān kī gaī hai aur wuh bāteṅ bhī jo ġhaibbīnoṅ ne Rab Isrāīl ke Ḳhudā ke nām meṅ use batāī thīṅ. 19 Ġhaibbīnoṅ kī kitāb meṅ bhī Manassī kī duā bayān kī gaī hai aur yih ki Allāh ne kis tarah us kī sunī. Wahāṅ us ke tamām gunāhoṅ aur bewafāī kā zikr hai, nīz un ūṅchī jaghoṅ kī fahrist darj hai jahāṅ us ne Allāh ke tābe ho jāne se pahle mandir banā kar Yasīrat Dewī ke khambe aur but khaṛe kie the. 20 Jab Manassī mar kar apne bāpdādā se jā milā to use us ke mahal meṅ dafn kiyā gayā. Phir us kā beṭā Amūn taḳhtnashīn huā.