5 Isī lie Rab us ke Ḳhudā ne use Shām ke bādshāh ke hawāle kar diyā. Shām kī fauj ne use shikast dī aur Yahūdāh ke bahut-se logoṅ ko qaidī banā kar Damishq le gaī. Āḳhaz ko Isrāīl ke bādshāh Fiqah bin Ramaliyāh ke hawāle bhī kar diyā gayā jis ne use shadīd nuqsān pahuṅchāyā. 6 Ek hī din meṅ Yahūdāh ke 1,20,000 tajrabākār faujī shahīd hue. Yih sab kuchh is lie huā ki qaum ne Rab apne bāpdādā ke Ḳhudā ko tark kar diyā thā. 7 Us waqt Ifrāīm ke qabīle ke pahalwān Zikrī ne Āḳhaz ke beṭe Māsiyāh, mahal ke inchārj Azrīqām aur bādshāh ke bād sab se ālā afsar Ilqānā ko mār ḍālā. 8 Isrāīliyoṅ ne Yahūdāh kī 2,00,000 aurateṅ aur bachche chhīn lie aur kasrat kā māl lūṭ kar Sāmariya le gae.
12 Ifrāīm ke qabīle ke kuchh sarparastoṅ ne bhī faujiyoṅ kā sāmnā kiyā. Un ke nām Azariyāh bin Yūhanān, Barakiyāh bin Masillamot, Yahizqiyāh bin Sallūm aur Amāsā bin Ḳhadlī the. 13 Unhoṅ ne kahā, “In qaidiyoṅ ko yahāṅ mat le āeṅ, warnā ham Rab ke sāmne qusūrwār ṭhahreṅge. Kyā āp chāhte haiṅ ki ham apne gunāhoṅ meṅ izāfā kareṅ? Hamārā qusūr pahle hī bahut baṛā hai. Hāṅ, Rab Isrāīl par saḳht ġhusse hai.”
14 Tab faujiyoṅ ne apne qaidiyoṅ ko āzād karke unheṅ lūṭe hue māl ke sāth buzurgoṅ aur pūrī jamāt ke hawāle kar diyā. 15 Mazkūrā chār ādmiyoṅ ne sāmne ā kar qaidiyoṅ ko apne pās mahfūz rakhā. Lūṭe hue māl meṅ se kapṛe nikāl kar unhoṅ ne unheṅ un meṅ taqsīm kiyā jo barahnā the. Is ke bād unhoṅ ne tamām qaidiyoṅ ko kapṛe aur jūte de die, unheṅ khānā khilāyā, pānī pilāyā aur un ke zaḳhmoṅ kī marham-paṭṭī kī. Jitne thakāwaṭ kī wajah se chal na sakte the unheṅ unhoṅ ne gadhoṅ par biṭhāyā, phir chalte chalte sab ko Khajūr ke Shahr Yarīhū tak pahuṅchāyā jahāṅ un ke apne log the. Phir wuh Sāmariya lauṭ āe.
20 Asūr ke bādshāh Tiglat-pilesar apnī fauj le kar mulk meṅ āyā, lekin Āḳhaz kī madad karne ke bajāe us ne use tang kiyā. 21 Āḳhaz ne Rab ke ghar, shāhī mahal aur apne ālā afsaroṅ ke ḳhazānoṅ ko lūṭ kar sārā māl Asūr ke bādshāh ko bhej diyā, lekin befāydā. Is se use sahīh madad na milī.
22 Go wuh us waqt baṛī musībat meṅ thā to bhī Rab se aur dūr ho gayā. 23 Wuh Shām ke dewatāoṅ ko qurbāniyāṅ pesh karne lagā, kyoṅki us kā ḳhayāl thā ki inhīṅ ne mujhe shikast dī hai. Us ne sochā, “Shām ke dewatā apne bādshāhoṅ kī madad karte haiṅ! Ab se maiṅ unheṅ qurbāniyāṅ pesh karūṅga tāki wuh merī bhī madad kareṅ.” Lekin yih dewatā bādshāh Āḳhaz aur pūrī qaum ke lie tabāhī kā bāis ban gae. 24 Āḳhaz ne hukm diyā ki Allāh ke ghar kā sārā sāmān nikāl kar ṭukṛe ṭukṛe kar diyā jāe. Phir us ne Rab ke ghar ke darwāzoṅ par tālā lagā diyā. Us kī jagah us ne Yarūshalam ke kone kone meṅ qurbāngāheṅ khaṛī kar dīṅ. 25 Sāth sāth us ne dīgar mābūdoṅ ko qurbāniyāṅ pesh karne ke lie Yahūdāh ke har shahr kī ūṅchī jaghoṅ par mandir tāmīr kie. Aisī harkatoṅ se wuh Rab apne bāpdādā ke Ḳhudā ko taish dilātā rahā.
26 Bāqī jo kuchh us kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh shurū se le kar āḳhir tak ‘Shāhān-e-Yahūdāh-o-Isrāīl’ kī kitāb meṅ darj hai. 27 Jab Āḳhaz mar kar apne bāpdādā se jā milā to use Yarūshalam meṅ dafn kiyā gayā, lekin shāhī qabristān meṅ nahīṅ. Phir us kā beṭā Hizqiyāh taḳhtnashīn huā.
<- 2 Tawārīḳh 272 Tawārīḳh 29 ->