3 Yih sun kar Yahūsafat ghabrā gayā. Us ne Rab se rāhnumāī māṅgne kā faislā karke elān kiyā ki tamām Yahūdāh rozā rakhe. 4 Yahūdāh ke tamām shahroṅ se log Yarūshalam āe tāki mil kar madad ke lie Rab se duā māṅgeṅ. 5 Wuh Rab ke ghar ke nae sahan meṅ jamā hue aur Yahūsafat ne sāmne ā kar 6 duā kī,
10 Ab Ammon, Moāb aur pahāṛī mulk Saīr kī harkatoṅ ko deḳh! Jab Isrāīl Misr se niklā to tū ne use in qaumoṅ par hamlā karne aur in ke ilāqe meṅ se guzarne kī ijāzat na dī. Isrāīl ko mutabādil rāstā iḳhtiyār karnā paṛā, kyoṅki use inheṅ halāk karne kī ijāzat na milī. 11 Ab dhyān de ki yih badle meṅ kyā kar rahe haiṅ. Yih hameṅ us maurūsī zamīn se nikālnā chāhte haiṅ jo tū ne hameṅ dī thī. 12 Ai hamāre Ḳhudā, kyā tū un kī adālat nahīṅ karegā? Ham to is baṛī fauj ke muqābale meṅ bebas haiṅ. Is ke hamle se bachne kā rāstā hameṅ nazar nahīṅ ātā, lekin hamārī āṅkheṅ madad ke lie tujh par lagī haiṅ.”
13 Yahūdāh ke tamām mard, aurateṅ aur bachche wahāṅ Rab ke huzūr khaṛe rahe. 14 Tab Rab kā Rūh ek Lāwī banām Yahziyel par nāzil huā jab wuh jamāt ke darmiyān khaṛā thā. Yih ādmī Āsaf ke ḳhāndān kā thā, aur us kā pūrā nām Yahziyel bin Zakariyāh bin Bināyāh bin Ya'iyel bin Mattaniyāh thā. 15 Us ne kahā, “Yahūdāh aur Yarūshalam ke logo, merī bāt suneṅ! Ai bādshāh, āp bhī is par dhyān deṅ. Rab farmātā hai ki ḍaro mat, aur is baṛī fauj ko dekh kar mat ghabrānā. Kyoṅki yih jang tumhārā nahīṅ balki merā muāmalā hai. 16 Kal un ke muqābale ke lie niklo. Us waqt wuh Darrā-e-Sīs se ho kar tumhārī taraf baṛh rahe hoṅge. Tumhārā un se muqābalā us wādī ke sire par hogā jahāṅ Yaruel kā Registān shurū hotā hai. 17 Lekin tumheṅ laṛne kī zarūrat nahīṅ hogī. Bas dushman ke āmne-sāmne khaṛe ho kar ruk jāo aur dekho ki Rab kis tarah tumheṅ chhuṭkārā degā. Lihāzā mat ḍaro, ai Yahūdāh aur Yarūshalam, aur dahshat mat khāo. Kal un kā sāmnā karne ke lie niklo, kyoṅki Rab tumhāre sāth hogā.”
18 Yih sun kar Yahūsafat muṅh ke bal jhuk gayā. Yahūdāh aur Yarūshalam ke tamām logoṅ ne bhī aundhe muṅh jhuk kar Rab kī parastish kī. 19 Phir Qihāt aur Qorah ke ḳhāndānoṅ ke kuchh Lāwī khaṛe ho kar buland āwāz se Rab Isrāīl ke Ḳhudā kī hamd-o-sanā karne lage.
22 Us waqt Rab hamlā-āwar fauj ke muḳhālifoṅ ko khaṛā kar chukā thā. Ab jab Yahūdāh ke mard hamd ke gīt gāne lage to wuh tāk meṅ se nikal kar baṛhtī huī fauj par ṭūṭ paṛe aur use shikast dī. 23 Phir Ammoniyoṅ aur Moābiyoṅ ne mil kar pahāṛī mulk Saīr ke mardoṅ par hamlā kiyā tāki unheṅ mukammal taur par ḳhatm kar deṅ. Jab yih halāk hue to Ammonī aur Moābī ek dūsre ko maut ke ghāṭ utārne lage. 24 Yahūdāh ke faujiyoṅ ko is kā ilm nahīṅ thā. Chalte chalte wuh us maqām tak pahuṅch gae jahāṅ se registān nazar ātā hai. Wahāṅ wuh dushman ko talāsh karne lage, lekin lāsheṅ hī lāsheṅ zamīn par bikhrī nazar āīṅ. Ek bhī dushman nahīṅ bachā thā. 25 Yahūsafat aur us ke logoṅ ke lie sirf dushman ko lūṭne kā kām bāqī rah gayā thā. Kasrat ke jānwar, qism qism kā sāmān, kapṛe aur kaī qīmtī chīzeṅ thīṅ. Itnā sāmān thā ki wuh use ek waqt meṅ uṭhā kar apne sāth le jā nahīṅ sakte the. Sārā māl jamā karne meṅ tīn din lage.
26 Chauthe din wuh qarīb kī ek wādī meṅ jamā hue tāki Rab kī tārīf kareṅ. Us waqt se wādī kā nām ‘Tārīf kī Wādī’ paṛ gayā. 27 Is ke bād Yahūdāh aur Yarūshalam ke tamām mard Yahūsafat kī rāhnumāī meṅ ḳhushī manāte hue Yarūshalam wāpas āe. Kyoṅki Rab ne unheṅ dushman kī shikast se ḳhushī kā sunahrā mauqā atā kiyā thā. 28 Sitār, sarod aur turam bajāte hue wuh Yarūshalam meṅ dāḳhil hue aur Rab ke ghar ke pās jā pahuṅche. 29 Jab irdgird ke mamālik ne sunā ki kis tarah Rab Isrāīl ke dushmanoṅ se laṛā hai to un meṅ Allāh kī dahshat phail gaī. 30 Us waqt se Yahūsafat sukūn se hukūmat kar sakā, kyoṅki Allāh ne use chāroṅ taraf ke mamālik ke hamloṅ se mahfūz rakhā thā.
34 Bāqī jo kuchh Yahūsafat kī hukūmat ke daurān huā wuh shurū se le kar āḳhir tak Yāhū bin Hanānī kī tārīḳh meṅ bayān kiyā gayā hai. Bād meṅ sab kuchh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj kiyā gayā.
35 Bād meṅ Yahūdāh ke bādshāh Yahūsafat ne Isrāīl ke bādshāh Aḳhaziyāh se ittahād kiyā, go us kā rawaiyā bedīnī kā thā. 36 Donoṅ ne mil kar tijāratī jahāzoṅ kā aisā beṛā banwāyā jo Tarsīs tak pahuṅch sake. Jab yih jahāz bandargāh Asyūn-jābar meṅ taiyār hue 37 to Maresā kā rahne wālā Iliyazar bin Dūdāwāhū ne Yahūsafat ke ḳhilāf peshgoī kī, “Chūṅki āp Aḳhaziyāh ke sāth muttahid ho gae haiṅ is lie Rab āp kā kām tabāh kar degā!” Aur wāqaī, yih jahāz kabhī apnī manzil-e-maqsūd Tarsīs tak pahuṅch na sake, kyoṅki wuh pahle hī ṭukṛe ṭukṛe ho gae.
<- 2 Tawārīḳh 192 Tawārīḳh 21 ->