7 Apnī hukūmat ke tīsre sāl ke daurān Yahūsafat ne apne mulāzimoṅ ko Yahūdāh ke tamām shahroṅ meṅ bhejā tāki wuh logoṅ ko Rab kī sharīat kī tālīm deṅ. In afsaroṅ meṅ Bin-ḳhail, Abadiyāh, Zakariyāh, Nataniyel aur Mīkāyāh shāmil the. 8 Un ke sāth 9 Lāwī banām Samāyāh, Nataniyāh, Zabadiyāh, Asāhel, Samīrāmot, Yahūnatan, Adūniyāh, Tūbiyāh, aur Tūb-adūniyāh the. Imāmoṅ kī taraf se Ilīsamā aur Yahūrām sāth gae. 9 Rab kī Sharīat kī Kitāb apne sāth le kar in ādmiyoṅ ne Yahūdāh meṅ shahr bashahr jā kar logoṅ ko tālīm dī.
10 Us waqt Yahūdāh ke paṛosī mamālik par Rab kā ḳhauf chhā gayā, aur unhoṅ ne Yahūsafat se jang karne kī jurrat na kī. 11 Ḳharāj ke taur par use Filistiyoṅ se hadiye aur chāṅdī miltī thī, jabki Arab use 7,700 menḍhe aur 7,700 bakre diyā karte the. 12 Yoṅ Yahūsafat kī tāqat baṛhtī gaī. Yahūdāh kī kaī jaghoṅ par us ne qile aur shāhī godām ke shahr tāmīr kie. 13 Sāth sāth us ne Yahūdāh ke shahroṅ meṅ zarūriyāt-e-zindagī ke baṛe zaḳhīre jamā kie aur Yarūshalam meṅ tajrabākār faujī rakhe.
14 Yahūsafat kī fauj ko kunboṅ ke mutābiq tartīb diyā gayā thā. Yahūdāh ke qabīle kā kamānḍar Adnā thā. Us ke taht 3,00,000 tajrabākār faujī the. 15 Us ke alāwā Yūhanān thā jis ke taht 2,80,000 afrād the 16 aur Amasiyāh bin Zikrī jis ke taht 2,00,000 afrād the. Amasiyāh ne apne āp ko razākārānā taur par Rab kī ḳhidmat ke lie waqf kar diyā thā. 17 Binyamīn ke qabīle kā kamānḍar Ilyadā thā jo zabardast faujī thā. Us ke taht kamān aur ḍhāloṅ se lais 2,00,000 faujī the. 18 Us ke alāwā Yahūzabad thā jis ke 1,80,000 musallah ādmī the.
19 Sab fauj meṅ bādshāh kī ḳhidmat saranjām dete the. Un meṅ wuh faujī nahīṅ shumār kie jāte the jinheṅ bādshāh ne pūre Yahūdāh ke qilāband shahroṅ meṅ rakhā huā thā.
<- 2 Tawārīḳh 162 Tawārīḳh 18 ->