2 Jawāb meṅ Āsā ne Shām ke bādshāh Bin-hadad ke pās wafd bhejā jis kā dārul-hukūmat Damishq thā. Us ne Rab ke ghar aur shāhī mahal ke ḳhazānoṅ kī sonā-chāṅdī wafd ke sapurd karke Damishq ke bādshāh ko paiġhām bhejā, 3 “Merā āp ke sāth ahd hai jis tarah mere bāp kā āp ke bāp ke sāth ahd thā. Guzārish hai ki āp sone-chāṅdī kā yih tohfā qabūl karke Isrāīl ke bādshāh Bāshā ke sāth apnā ahd mansūḳh kar deṅ tāki wuh mere mulk se nikal jāe.”
4 Bin-hadad muttafiq huā. Us ne apne faujī afsaroṅ ko Isrāīl ke shahroṅ par hamlā karne ke lie bhej diyā to unhoṅ ne Aiyyūn, Dān, Abīl-māym aur Naftālī ke un tamām shahroṅ par qabzā kar liyā jin meṅ shāhī godām the. 5 Jab Bāshā ko is kī ḳhabar milī to us ne Rāmā kī qilābandī karne se bāz ā kar apnī yih muhimm chhoṛ dī.
6 Phir Āsā Bādshāh ne Yahūdāh ke tamām mardoṅ kī bhartī karke unheṅ Rāmā bhej diyā tāki wuh un tamām pattharoṅ aur shahtīroṅ ko uṭhā kar le jāeṅ jin se Bāshā Bādshāh Rāmā kī qilābandī karnā chāhtā thā. Is sāmān se Āsā ne Jibā aur Misfāh shahroṅ kī qilābandī kī.
11 Bāqī jo kuchh shurū se le kar āḳhir tak Āsā kī hukūmat ke daurān huā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh-o-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ bayān kiyā gayā hai. 12 Hukūmat ke 39weṅ sāl meṅ us ke pāṅwoṅ ko bīmārī lag gaī. Go us kī burī hālat thī to bhī us ne Rab ko talāsh na kiyā balki sirf ḍākṭaroṅ ke pīchhe paṛ gayā. 13 Hukūmat ke 41weṅ sāl meṅ Āsā mar kar apne bāpdādā se jā milā. 14 Us ne Yarūshalam ke us hisse meṅ jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai apne lie chaṭṭān meṅ qabr tarāshī thī. Ab use is meṅ dafn kiyā gayā. Janāze ke waqt logoṅ ne lāsh ko ek palang par liṭā diyā jo balsān ke tel aur muḳhtalif qism ke ḳhushbūdār marhamoṅ se ḍhāṅpā gayā thā. Phir us ke ehtirām meṅ lakaṛī kā zabardast ḍher jalāyā gayā.
<- 2 Tawārīḳh 152 Tawārīḳh 17 ->