Link to home pageLanguagesLink to all Bible versions on this site
13
Yahūdāh kā Bādshāh Abiyāh
1 Abiyāh Isrāīl ke bādshāh Yarubiyām Awwal kī hukūmat ke 18weṅ sāl meṅ Yahūdāh kā bādshāh banā. 2 Wuh tīn sāl bādshāh rahā, aur us kā dārul-hukūmat Yarūshalam thā. Us kī māṅ Mākā bint Ūriyel Jibiyā kī rahne wālī thī.
Ek din Abiyāh aur Yarubiyām ke darmiyān jang chhiṛ gaī. 3 4,00,000 tajrabākār faujiyoṅ ko jamā karke Abiyāh Yarubiyām se laṛne ke lie niklā. Yarubiyām 8,00,000 tajrabākār faujiyoṅ ke sāth us ke muqābil saf-ārā huā. 4 Phir Abiyāh ne Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe ke pahāṛ Samraim par chaṛh kar buland āwāz se pukārā,
“Yarubiyām aur tamām Isrāīliyo, merī bāt suneṅ! 5 Kyā āp ko nahīṅ mālūm ki Rab Isrāīl ke Ḳhudā ne Dāūd se namak kā abadī ahd bāndh kar use aur us kī aulād ko hameshā ke lie Isrāīl kī saltanat atā kī hai? 6 To bhī Sulemān bin Dāūd kā mulāzim Yarubiyām bin Nabāt apne mālik ke ḳhilāf uṭh kar bāġhī ho gayā. 7 Us ke irdgird kuchh badmāsh jamā hue aur Rahubiyām bin Sulemān kī muḳhālafat karne lage. Us waqt wuh jawān aur nātajrabākār thā, is lie un kā sahīh muqābalā na kar sakā.

8 Aur ab āp wāqaī samajhte haiṅ ki ham Rab kī bādshāhī par fatah pā sakte haiṅ, usī bādshāhī par jo Dāūd kī aulād ke hāth meṅ hai. Āp samajhte haiṅ ki āp kī fauj bahut hī baṛī hai, aur ki sone ke bachhṛe āp ke sāth haiṅ, wuhī but jo Yarubiyām ne āp kī pūjā ke lie taiyār kar rakhe haiṅ. 9 Lekin āp ne Rab ke imāmoṅ yānī Hārūn kī aulād ko Lāwiyoṅ samet mulk se nikāl kar un kī jagah aise pujārī ḳhidmat ke lie muqarrar kie jaise butparast qaumoṅ meṅ pāe jāte haiṅ. Jo bhī chāhtā hai ki use maḳhsūs karke imām banāyā jāe use sirf ek jawān bail aur sāt menḍhe pesh karne kī zarūrat hai. Yih in nām-nihād ḳhudāoṅ kā pujārī banane ke lie kāfī hai.

10 Lekin jahāṅ tak hamārā tālluq hai Rab hī hamārā Ḳhudā hai. Ham ne use tark nahīṅ kiyā. Sirf Hārūn kī aulād hī hamāre imām haiṅ. Sirf yih aur Lāwī Rab kī ḳhidmat karte haiṅ. 11 Yihī subah-shām use bhasm hone wālī qurbāniyāṅ aur ḳhushbūdār baḳhūr pesh karte haiṅ. Pāk mez par Rab ke lie maḳhsūs roṭiyāṅ rakhnā aur sone ke shamādān ke charāġh jalānā inhīṅ kī zimmedārī rahī hai. Ġharz, ham Rab apne Ḳhudā kī hidāyāt par amal karte haiṅ jabki āp ne use tark kar diyā hai. 12 Chunāṅche Allāh hamāre sāth hai. Wuhī hamārā rāhnumā hai, aur us ke imām turam bajā kar āp se laṛne kā elān kareṅge. Isrāīl ke mardo, ḳhabardār! Rab apne bāpdādā ke Ḳhudā se mat laṛnā. Yih jang āp jīt hī nahīṅ sakte!”

13 Itne meṅ Yarubiyām ne chupke se kuchh dastoṅ ko Yahūdāh kī fauj ke pīchhe bhej diyā tāki wahāṅ tāk meṅ baiṭh jāeṅ. Yoṅ us kī fauj kā ek hissā Yahūdāh kī fauj ke sāmne aur dūsrā hissā us ke pīchhe thā. 14 Achānak Yahūdāh ke faujiyoṅ ko patā chalā ki dushman sāmne aur pīchhe se ham par hamlā kar rahā hai. Chīḳhte-chillāte hue unhoṅ ne Rab se madad māṅgī. Imāmoṅ ne apne turam bajāe 15 aur Yahūdāh ke mardoṅ ne jang kā nārā lagāyā. Jab un kī āwāzeṅ buland huīṅ to Allāh ne Yarubiyām aur tamām Isrāīliyoṅ ko shikast de kar Abiyāh aur Yahūdāh kī fauj ke sāmne se bhagā diyā. 16 Isrāīlī farār hue, lekin Allāh ne unheṅ Yahūdāh ke hawāle kar diyā. 17 Abiyāh aur us ke log unheṅ baṛā nuqsān pahuṅchā sake. Isrāīl ke 5,00,000 tajrabākār faujī maidān-e-jang meṅ māre gae. 18 Us waqt Isrāīl kī baṛī be'izzatī huī jabki Yahūdāh ko taqwiyat milī. Kyoṅki wuh Rab apne bāpdādā ke Ḳhudā par bharosā rakhte the.

19 Abiyāh ne Yarubiyām kā tāqqub karte karte us se tīn shahr gird-o-nawāh kī ābādiyoṅ samet chhīn lie, Baitel, Yasānā aur Ifron. 20 Abiyāh ke jīte-jī Yarubiyām dubārā taqwiyat na pā sakā, aur thoṛī der ke bād Rab ne use mār diyā. 21 Us ke muqābale meṅ Abiyāh kī tāqat baṛhtī gaī. Us kī 14 bīwiyoṅ ke 22 beṭe aur 16 beṭiyāṅ paidā huīṅ.

22 Bāqī jo kuchh Abiyāh kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā aur kahā, wuh Iddū Nabī kī Kitāb meṅ bayān kiyā gayā hai.

<- 2 Tawārīḳh 122 Tawārīḳh 14 ->