Link to home pageLanguagesLink to all Bible versions on this site
2
Hannā kā Gīt
1 Wahāṅ Hannā ne yih gīt gāyā,
“Merā dil Rab kī ḳhushī manātā hai, kyoṅki us ne mujhe quwwat atā kī hai. Merā muṅh dilerī se apne dushmanoṅ ke ḳhilāf bāt kartā hai, kyoṅki maiṅ terī najāt ke bāis bāġh bāġh hūṅ.
 
2 Rab jaisā quddūs koī nahīṅ hai, tere siwā koī nahīṅ hai. Hamāre Ḳhudā jaisī koī chaṭṭān nahīṅ hai. 3 Ḍīṅgeṅ mārne se bāz āo! Gustāḳh bāteṅ mat bako! Kyoṅki Rab aisā Ḳhudā hai jo sab kuchh jāntā hai, wuh tamām āmāl ko tol kar parakhtā hai. 4 Ab baṛoṅ kī kamāneṅ ṭūṭ gaī haiṅ jabki girne wāle quwwat se kamarbastā ho gae haiṅ. 5 Jo pahle ser the wuh roṭī milne ke lie mazdūrī karte haiṅ jabki jo pahle bhūke the wuh ser ho gae haiṅ. Beaulād aurat ke sāt bachche paidā hue haiṅ jabki wāfir bachchoṅ kī māṅ murjhā rahī hai.
 
6 Rab ek ko marne detā aur dūsre ko zindā hone detā hai. Wuh ek ko Pātāl meṅ utarne detā aur dūsre ko wahāṅ se nikal āne detā hai. 7 Rab hī ġharīb aur amīr banā detā hai, wuhī past kartā aur wuhī sarfarāz kartā hai. 8 Wuh ḳhāk meṅ dabe ādmī ko khaṛā kartā hai aur rākh meṅ leṭe zarūratmand ko sarfarāz kartā hai, phir unheṅ ra'īsoṅ ke sāth izzat kī kursī par biṭhā detā hai. Kyoṅki duniyā kī buniyādeṅ Rab kī haiṅ, aur usī ne un par zamīn rakhī hai.
 
9 Wuh apne wafādār pairokāroṅ ke pāṅw mahfūz rakhegā jabki sharīr tārīkī meṅ chup ho jāeṅge. Kyoṅki insān apnī tāqat se kāmyāb nahīṅ hotā. 10 Jo Rab se laṛne kī jurrat kareṅ wuh pāsh pāsh ho jāeṅge. Rab āsmān se un ke ḳhilāf garaj kar duniyā kī intahā tak sab kī adālat karegā. Wuh apne bādshāh ko taqwiyat aur apne masah kie hue ḳhādim ko quwwat atā karegā.”

11 Phir Ilqānā aur Hannā Rāmā meṅ apne ghar wāpas chale gae. Lekin un kā beṭā Elī Imām ke pās rahā aur maqdis meṅ Rab kī ḳhidmat karne lagā.

Elī ke Beṭoṅ kī Bedīn Zindagī
12 Lekin Elī ke beṭe badmāsh the. Na wuh Rab ko jānte the, 13 na imām kī haisiyat se apne farāyz sahīh taur par adā karte the. Kyoṅki jab bhī koī ādmī apnī qurbānī pesh karke rifāqatī khāne ke lie gosht ubāltā to Elī ke beṭe apne naukar ko wahāṅ bhej dete. Yih naukar sihshāḳhā kāṅṭā 14 deg meṅ ḍāl kar gosht kā har wuh ṭukṛā apne mālikoṅ ke pās le jātā jo kāṅṭe se lag jātā. Yihī un kā tamām Isrāīliyoṅ ke sāth sulūk thā jo Sailā meṅ qurbāniyāṅ chaṛhāne āte the. 15 Na sirf yih balki kaī bār naukar us waqt bhī ā jātā jab jānwar kī charbī abhī qurbāngāh par jalānī hotī thī. Phir wuh taqāzā kartā, “Mujhe imām ke lie kachchā gosht de do! Use ublā gosht manzūr nahīṅ balki sirf kachchā gosht, kyoṅki wuh use bhūnanā chāhtā hai.” 16 Qurbānī pesh karne wālā etarāz kartā, “Pahle to Rab ke lie charbī jalānā hai, is ke bād hī jo jī chāhe le leṅ.” Phir naukar badtamīzī kartā, “Nahīṅ, use abhī de do, warnā maiṅ zabardastī le lūṅgā.” 17 In jawān imāmoṅ kā yih gunāh Rab kī nazar meṅ nihāyat sangīn thā, kyoṅki wuh Rab kī qurbāniyāṅ haqīr jānte the.
Māṅ-bāp Samuel se Milne Āte Haiṅ
18 Lekin chhoṭā Samuel Rab ke huzūr ḳhidmat kartā rahā. Use bhī dūsre imāmoṅ kī tarah katān kā bālāposh diyā gayā thā. 19 Har sāl jab us kī māṅ ḳhāwind ke sāth qurbānī pesh karne ke lie Sailā ātī to wuh nayā choġhā sī kar use de detī. 20 Aur rawānā hone se pahle Elī Samuel ke māṅ-bāp ko barkat de kar Ilqānā se kahtā, “Hannā ne Rab se bachchā māṅg liyā aur jab milā to use Rab ko wāpas kar diyā. Ab Rab āp ko is bachche kī jagah mazīd bachche de.” Is ke bād wuh apne ghar chale jāte. 21 Aur wāqaī, Rab ne Hannā ko mazīd tīn beṭe aur do beṭiyāṅ atā kīṅ. Yih bachche ghar meṅ rahe, lekin Samuel Rab ke huzūr ḳhidmat karte karte jawān ho gayā.
Elī ke Beṭe Bāp kī Nahīṅ Sunte
22 Elī us waqt bahut būṛhā ho chukā thā. Beṭoṅ kā tamām Isrāīl ke sāth burā sulūk us ke kānoṅ tak pahuṅch gayā thā, balki yih bhī ki beṭe un auratoṅ se nājāyz tālluqāt rakhte haiṅ jo mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par ḳhidmat kartī haiṅ. 23 Us ne unheṅ samjhāyā bhī thā, “Āp aisī harkateṅ kyoṅ kar rahe haiṅ? Mujhe tamām logoṅ se āp ke sharīr kāmoṅ kī ḳhabreṅ miltī rahtī haiṅ. 24 Beṭo, aisā mat karnā! Jo bāteṅ āp ke bāre meṅ Rab kī qaum meṅ phail gaī haiṅ wuh achchhī nahīṅ. 25 Dekheṅ, agar insān kisī dūsre insān kā gunāh kare to ho saktā hai Allāh donoṅ kā darmiyānī ban kar qusūrwār shaḳhs par rahm kare. Lekin agar koī Rab kā gunāh kare to phir kaun us kā darmiyānī ban kar use bachāegā?”
Lekin Elī ke beṭoṅ ne bāp kī na sunī, kyoṅki Rab kī marzī thī ki unheṅ sazā-e-maut mil jāe. 26 Lekin Samuel un se farq thā. Jitnā wuh baṛā hotā gayā utnī us kī Rab aur insān ke sāmne qabūliyat baṛhtī gaī.
Elī ke Gharāne ko Sazā Milne kī Peshgoī
27 Ek din ek nabī Elī ke pās āyā aur kahā, “Rab farmātā hai, ‘Kyā jab terā bāp Hārūn aur us kā gharānā Misr ke bādshāh ke ġhulām the to maiṅ ne apne āp ko us par zāhir na kiyā? 28 Go Isrāīl ke bārah qabīle the lekin maiṅ ne muqarrar kiyā ki usī ke gharāne ke mard mere imām ban kar qurbāngāh ke sāmne ḳhidmat kareṅ, baḳhūr jalāeṅ aur mere huzūr imām kā bālāposh pahneṅ. Sāth sāth maiṅ ne unheṅ qurbāngāh par jalne wālī qurbāniyoṅ kā ek hissā milne kā haq de diyā. 29 To phir tum log zabah aur ġhallā kī wuh qurbāniyāṅ haqīr kyoṅ jānte ho jo mujhe hī pesh kī jātī haiṅ aur jo maiṅ ne apnī sukūnatgāh ke lie muqarrar kī thīṅ? Elī, tū apne beṭoṅ kā mujh se zyādā ehtirām kartā hai. Tum to merī qaum Isrāīl kī har qurbānī ke behtarīn hisse khā khā kar moṭe ho gae ho.’

30 Chunāṅche Rab jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, wādā to maiṅ ne kiyā thā ki Lāwī ke qabīle kā terā gharānā hameshā hī imām kī ḳhidmat saranjām degā. Lekin ab maiṅ elān kartā hūṅ ki aisā kabhī nahīṅ hogā! Kyoṅki jo merā ehtirām karte haiṅ un kā maiṅ ehtirām karūṅga, lekin jo mujhe haqīr jānte haiṅ unheṅ haqīr jānā jāegā. 31 Is lie sun! Aise din ā rahe haiṅ jab maiṅ terī aur tere gharāne kī tāqat yoṅ toṛ ḍālūṅgā ki ghar kā koī bhī buzurg nahīṅ pāyā jāegā. 32 Aur tū maqdis meṅ musībat dekhegā hālāṅki maiṅ Isrāīl ke sāth bhalāī kartā rahūṅgā. Tere ghar meṅ kabhī bhī buzurg nahīṅ pāyā jāegā. 33 Maiṅ tum meṅ se har ek ko to apnī ḳhidmat se nikāl kar halāk nahīṅ karūṅga jab terī āṅkheṅ dhundlī-sī paṛ jāeṅgī aur terī jān halkān ho jāegī. Lekin terī tamām aulād ġhairtabaī maut maregī. 34 Tere beṭe Hufnī aur Fīnhās donoṅ ek hī din halāk ho jāeṅge. Is nishān se tujhe yaqīn āegā ki jo kuchh maiṅ ne farmāyā hai wuh sach hai.

35 Tab maiṅ apne lie ek imām khaṛā karūṅga jo wafādār rahegā. Jo bhī merā dil aur merī jān chāhegī wuhī wuh karegā. Maiṅ us ke ghar kī mazbūt buniyādeṅ rakhūṅgā, aur wuh hameshā tak mere masah kie hue ḳhādim ke huzūr ātā jātā rahegā. 36 Us waqt tere ghar ke bache hue tamām afrād us imām ke sāmne jhuk jāeṅge aur paise aur roṭī māṅg kar iltamās kareṅge, mujhe imām kī koī na koī zimmedārī deṅ tāki roṭī kā ṭukṛā mil jāe.’ ”

<- 1 Samuel 11 Samuel 3 ->