4 Phir Filistī safoṅ se Jāt Shahr kā pahalwān nikal kar Isrāīliyoṅ ke sāmne khaṛā huā. Us kā nām Jālūt thā aur wuh 9 fuṭ se zyādā lambā thā. 5 Us ne hifāzat ke lie pītal kī kaī chīzeṅ pahan rakhī thīṅ: sar par ḳhod, dhaṛ par zirābaktar jo 57 kilogrām waznī thā 6 aur pinḍliyoṅ par baktar. Kandhoṅ par pītal kī shamshīr laṭkī huī thī. 7 Jo nezā wuh pakaṛ kar chal rahā thā us kā dastā khaḍḍī ke shahtīr jaisā moṭā aur lambā thā, aur us ke lohe kī nok kā wazn 7 kilogrām se zyādā thā. Jālūt ke āge āge ek ādmī us kī ḍhāl uṭhāe chal rahā thā.
8 Jālūt Isrāīlī safoṅ ke sāmne ruk kar garjā, “Tum sab kyoṅ laṛne ke lie saf-ārā ho gae ho? Kyā maiṅ Filistī nahīṅ hūṅ jabki tum sirf Sāūl ke naukar-chākar ho? Chalo, ek ādmī ko chun kar use yahāṅ nīche mere pās bhej do. 9 Agar wuh mujh se laṛ sake aur mujhe mār de to ham tumhāre ġhulām ban jāeṅge. Lekin agar maiṅ us par ġhālib ā kar use mār ḍālūṅ to tum hamāre ġhulām ban jāoge. 10 Āj maiṅ Isrāīlī safoṅ kī badnāmī karke unheṅ chaileṅj kartā hūṅ ki mujhe ek ādmī do jo mere sāth laṛe.” 11 Jālūt kī yih bāteṅ sun kar Sāūl aur tamām Isrāīlī ghabrā gae. Aur un par dahshat tārī ho gaī.
17 Ek din Yassī ne Dāūd se kahā, “Beṭā, apne bhāiyoṅ ke pās kaimp meṅ jā kar un kā patā karo. Bhune hue anāj ke yih 16 kilogrām aur yih das roṭiyāṅ apne sāth le kar jaldī jaldī udhar pahuṅch jāo. 18 Panīr kī yih das ṭikkiyāṅ un ke kaptān ko de denā. Bhāiyoṅ kā hāl mālūm karke un kī koī chīz wāpas le āo tāki mujhe tasallī ho jāe ki wuh ṭhīk haiṅ. 19 Wuh Wādī-e-Ailā meṅ Sāūl aur Isrāīlī fauj ke sāth Filistiyoṅ se laṛ rahe haiṅ.” 20 Agle din subah-sawere Dāūd ne rewaṛ ko kisī aur ke sapurd karke sāmān uṭhāyā aur Yassī kī hidāyat ke mutābiq chalā gayā. Jab wuh kaimp ke pās pahuṅch gayā to Isrāīlī faujī nāre lagā lagā kar maidān-e-jang ke lie nikal rahe the. 21 Wuh laṛne ke lie tartīb se khaṛe ho gae. Aur dūsrī taraf Filistī safeṅ bhī taiyār huīṅ. 22 Yih dekh kar Dāūd ne apnī chīzeṅ us ādmī ke pās chhoṛ dīṅ jo lashkar ke sāmān kī nigarānī kar rahā thā, phir bhāg kar maidān-e-jang meṅ bhāiyoṅ se milne chalā gayā.
26 Dāūd ne sāth wāle faujiyoṅ se pūchhā, “Kyā kah rahe haiṅ? Us ādmī ko kyā inām milegā jo is Filistī ko mār kar hamārī qaum kī ruswāī dūr karegā? Yih nāmaḳhtūn Filistī kaun hai ki zindā Ḳhudā kī fauj kī badnāmī karke use chaileṅj kare!” 27 Logoṅ ne dubārā Dāūd ko batāyā ki bādshāh us ādmī ko kyā degā jo Jālūt ko mār ḍālegā.
28 Jab Dāūd ke baṛe bhāī Iliyāb ne Dāūd kī bāteṅ sunīṅ to use ġhussā āyā aur wuh use jhiṛakne lagā, “Tū kyoṅ āyā hai? Bayābān meṅ apnī chand ek bheṛ-bakriyoṅ ko kis ke pās chhoṛ āyā hai? Maiṅ terī shoḳhī aur dil kī sharārat ḳhūb jāntā hūṅ. Tū sirf jang kā tamāshā deḳhne āyā hai!” 29 Dāūd ne pūchhā, “Ab mujh se kyā ġhaltī huī? Maiṅ ne to sirf sawāl pūchhā.” 30 Wuh us se muṛ kar kisī aur ke pās gayā aur wuhī bāt pūchhne lagā. Wuhī jawāb milā.
34 Lekin Dāūd ne isrār kiyā, “Maiṅ apne bāp kī bheṛ-bakriyoṅ kī nigarānī kartā hūṅ. Jab kabhī koī sherbabar yā rīchh rewaṛ kā jānwar chhīn kar bhāg jātā 35 to maiṅ us ke pīchhe jātā aur use mār mār kar bheṛ ko us ke muṅh se chhuṛā letā thā. Agar sher yā rīchh jawāb meṅ mujh par hamlā kartā to maiṅ us ke sar ke bāloṅ ko pakaṛ kar use mār detā thā. 36 Is tarah āp ke ḳhādim ne kaī sheroṅ aur rīchhoṅ ko mār ḍālā hai. Yih nāmaḳhtūn bhī un kī tarah halāk ho jāegā, kyoṅki us ne zindā Ḳhudā kī fauj kī badnāmī karke use chaileṅj kiyā hai. 37 Jis Rab ne mujhe sher aur rīchh ke panje se bachā liyā hai wuh mujhe is Filistī ke hāth se bhī bachāegā.”
45 Dāūd ne jawāb diyā, “Āp talwār, nezā aur shamshīr le kar merā muqābalā karne āe haiṅ, lekin maiṅ Rabbul-afwāj kā nām le kar ātā hūṅ, usī kā nām jo Isrāīlī fauj kā Ḳhudā hai. Kyoṅki āp ne usī ko chaileṅj kiyā hai. 46 Āj hī Rab āp ko mere hāth meṅ kar degā, aur maiṅ āp kā sar qalam kar dūṅgā. Isī din maiṅ Filistī faujiyoṅ kī lāsheṅ parindoṅ aur janglī jānwaroṅ ko khilā dūṅgā. Tab tamām duniyā jān legī ki Isrāīl kā Ḳhudā hai. 47 Sab jo yahāṅ maujūd haiṅ jān leṅge ki Rab ko hameṅ bachāne ke lie talwār yā neze kī zarūrat nahīṅ hotī. Wuh ḳhud hī jang kar rahā hai, aur wuhī āp ko hamāre qabze meṅ kar degā.”
48 Jālūt Dāūd par hamlā karne ke lie āge baṛhā, aur Dāūd bhī us kī taraf dauṛā. 49 Chalte chalte us ne apnī thailī se patthar nikālā aur use falāḳhan meṅ rakh kar zor se chalāyā. Patthar uṛtā uṛtā Filistī ke māthe par jā lagā. Wuh khopaṛī meṅ dhaṅs gayā, aur pahalwān muṅh ke bal gir gayā. 50-51 Yoṅ Dāūd falāḳhan aur patthar se Filistī par ġhālib āyā. Us ke hāth meṅ talwār nahīṅ thī. Tab us ne Jālūt kī taraf dauṛ kar usī kī talwār miyān se khīṅch kar Filistī kā sar kāṭ ḍālā.
54 Bād meṅ Dāūd Jālūt kā sar Yarūshalam ko le āyā. Filistī ke hathiyār us ne apne ḳhaime meṅ rakh lie.