3 Ek din Yūnatan ne Jibiyā kī Filistī chaukī par hamlā karke use shikast dī. Jald hī yih ḳhabar dūsre Filistiyoṅ tak pahuṅch gaī. Sāūl ne mulk ke kone kone meṅ qāsid bhej die, aur wuh narsingā bajāte bajāte logoṅ ko Yūnatan kī fatah sunāte gae. 4 Tamām Isrāīl meṅ ḳhabar phail gaī, “Sāūl ne Jibiyā kī Filistī chaukī ko tabāh kar diyā hai, aur ab Isrāīl Filistiyoṅ kī ḳhās nafrat kā nishānā ban gayā hai.” Sāūl ne tamām mardoṅ ko Filistiyoṅ se laṛne ke lie Jiljāl meṅ bulāyā.
5 Filistī bhī Isrāīliyoṅ se laṛne ke lie jamā hue. Un ke 30,000 rath, 6,000 ghuṛsawār aur sāhil kī ret jaise beshumār piyādā faujī the. Unhoṅ ne Bait-āwan ke mashriq meṅ Mikmās ke qarīb apne ḳhaime lagāe. 6 Isrāīliyoṅ ne dekhā ki ham baṛe ḳhatre meṅ ā gae haiṅ, aur dushman ham par bahut dabāw ḍāl rahā hai to pareshānī ke ālam meṅ kuchh ġhāroṅ aur darāṛoṅ meṅ aur kuchh pattharoṅ ke darmiyān yā qabroṅ aur hauzoṅ meṅ chhup gae. 7 Kuchh itne ḍar gae ki wuh Dariyā-e-Yardan ko pār karke Jad aur Jiliyād ke ilāqe meṅ chale gae.
10 Wuh abhī is kām se fāriġh hī huā thā ki Samuel pahuṅch gayā. Sāūl use ḳhushāmdīd kahne ke lie niklā. 11 Lekin Samuel ne pūchhā, “Āp ne kyā kiyā?”
13 Samuel bolā, “Yih kaisī ahmaqānā harkat thī! Āp ne Rab apne Ḳhudā kā hukm na mānā. Rab to āp aur āp kī aulād ko hameshā ke lie Isrāīl par muqarrar karnā chāhtā thā. 14 Lekin ab āp kī bādshāhat qāym nahīṅ rahegī. Chūṅki āp ne us kī na sunī is lie Rab ne kisī aur ko chun kar apnī qaum kā rāhnumā muqarrar kiyā hai, ek aise ādmī ko jo us kī soch rakhegā.”
15 Phir Samuel Jiljāl se chalā gayā.
19 Un dinoṅ meṅ pūre Mulk-e-Isrāīl meṅ lohār nahīṅ thā, kyoṅki Filistī nahīṅ chāhte the ki Isrāīlī talwāreṅ yā neze banāeṅ. 20 Apne haloṅ, kudāloṅ, kulhāṛiyoṅ yā darāntiyoṅ ko tez karwāne ke lie tamām Isrāīliyoṅ ko Filistiyoṅ ke pās jānā paṛtā thā. 21 Filistī haloṅ, kudāloṅ, kāṅṭoṅ aur kulhāṛiyoṅ ko tez karne ke lie aur āṅkusoṅ kī nok ṭhīk karne ke lie chāṅdī ke sikke kī do tihāī lete the. 22 Natīje meṅ us din Sāūl aur Yūnatan ke siwā kisī bhī Isrāīlī ke pās talwār yā nezā nahīṅ thā.