5 Do ek aur bāteṅ bhī haiṅ. Āp ko ḳhūb mālūm hai ki Yoāb bin Zarūyāh ne mere sāth kaisā sulūk kiyā hai. Isrāīl ke do kamānḍaroṅ Abinair bin Nair aur Amāsā bin Yatar ko us ne qatl kiyā. Jab jang nahīṅ thī us ne jang kā ḳhūn bahā kar apnī peṭī aur jūtoṅ ko bequsūr ḳhūn se ālūdā kar liyā hai. 6 Us ke sāth wuh kuchh kareṅ jo āp ko munāsib lage. Yoāb būṛhā to hai, lekin dhyān deṅ ki wuh tabaī maut na mare. 7 Tāham Barzillī Jiliyādī ke beṭoṅ par mehrbānī kareṅ. Wuh āp kī mez ke mustaqil mehmān raheṅ, kyoṅki unhoṅ ne mere sāth bhī aisā hī sulūk kiyā jab maiṅ ne āp ke bhāī Abīsalūm kī wajah se Yarūshalam se hijrat kī. 8 Bahūrīm ke Binyamīnī Simaī bin Jīrā par bhī dhyān deṅ. Jis din maiṅ hijrat karte hue Mahanāym se guzar rahā thā to us ne mujh par lānateṅ bhejīṅ. Lekin merī wāpasī par wuh Dariyā-e-Yardan par mujh se milne āyā aur maiṅ ne Rab kī qasam khā kar us se wādā kiyā ki use maut ke ghāṭ nahīṅ utārūṅga. 9 Lekin āp us kā jurm nazarandāz na kareṅ balki us kī munāsib sazā deṅ. Āp dānishmand haiṅ, is lie āp zarūr sazā dene kā koī na koī tarīqā ḍhūnḍ nikāleṅge. Wuh būṛhā to hai, lekin dhyān deṅ ki wuh tabaī maut na mare.”
10 Phir Dāūd mar kar apne bāpdādā se jā milā. Use Yarūshalam ke us hisse meṅ dafn kiyā gayā jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai. 11 Wuh kul 40 sāl tak Isrāīl kā bādshāh rahā, sāt sāl Habrūn meṅ aur 33 sāl Yarūshalam meṅ. 12 Sulemān apne bāp Dāūd ke bād taḳhtnashīn huā. Us kī hukūmat mazbūtī se qāym huī.
19 Chunāṅche Bat-sabā Sulemān Bādshāh ke pās gaī tāki use Adūniyāh kā muāmalā pesh kare. Jab darbār meṅ pahuṅchī to bādshāh uṭh kar us se milne āyā aur us ke sāmne jhuk gayā. Phir wuh dubārā taḳht par baiṭh gayā aur hukm diyā ki māṅ ke lie bhī taḳht rakhā jāe. Bādshāh ke dahne hāth baiṭh kar 20 us ne apnā muāmalā pesh kiyā, “Merī āp se ek chhoṭī-sī guzārish hai. Is se inkār na kareṅ.” Bādshāh ne jawāb diyā, “Ammī, batāeṅ apnī bāt, maiṅ inkār nahīṅ karūṅga.” 21 Bat-sabā bolī, “Apne bhāī Adūniyāh ko Abīshāg Shūnīmī se shādī karne deṅ.”
22 Yih sun kar Sulemān bhaṛak uṭhā, “Adūniyāh kī Abīshāg se shādī!! Yih kaisī bāt hai jo āp pesh kar rahī haiṅ? Agar āp yih chāhtī haiṅ to kyoṅ na barāh-e-rāst taqāzā kareṅ ki Adūniyāh merī jagah taḳht par baiṭh jāe. Āḳhir wuh merā baṛā bhāī hai, aur Abiyātar Imām aur Yoāb bin Zarūyāh bhī us kā sāth de rahe haiṅ.” 23 Phir Sulemān Bādshāh ne Rab kī qasam khā kar kahā, “Is darḳhāst se Adūniyāh ne apnī maut par muhr lagāī hai. Allāh mujhe saḳht sazā de agar maiṅ use maut ke ghāṭ na utārūṅ. 24 Rab kī qasam jis ne merī tasdīq karke mujhe mere bāp Dāūd ke taḳht par biṭhā diyā aur apne wāde ke mutābiq mere lie ghar tāmīr kiyā hai, Adūniyāh ko āj hī marnā hai!”
25 Phir Sulemān Bādshāh ne Bināyāh bin Yahoyadā ko hukm diyā ki wuh Adūniyāh ko maut ke ghāṭ utār de. Chunāṅche wuh niklā aur use mār ḍālā.
28 Yoāb ko jald hī patā chalā ki Adūniyāh aur Abiyātar se kyā kuchh huā hai. Wuh Abīsalūm kī sāzishoṅ meṅ to sharīk nahīṅ huā thā lekin bād meṅ Adūniyāh kā sāthī ban gayā thā. Is lie ab wuh bhāg kar Rab ke muqaddas ḳhaime meṅ dāḳhil huā aur qurbāngāh ke sīṅgoṅ ko pakaṛ liyā. 29 Sulemān Bādshāh ko ittalā dī gaī, “Yoāb bhāg kar Rab ke muqaddas ḳhaime meṅ gayā hai. Ab wuh wahāṅ qurbāngāh ke pās khaṛā hai.” Yih sun kar Sulemān ne Bināyāh bin Yahoyadā ko hukm diyā, “Jāo, Yoāb ko mār do!”
30 Bināyāh Rab ke ḳhaime meṅ jā kar Yoāb se muḳhātib huā, “Bādshāh farmātā hai ki ḳhaime se nikal āo!” Lekin Yoāb ne jawāb diyā, “Nahīṅ, agar marnā hai to yihīṅ marūṅga.” Bināyāh bādshāh ke pās wāpas āyā aur use Yoāb kā jawāb sunāyā. 31 Tab bādshāh ne hukm diyā, “Chalo, us kī marzī! Use wahīṅ mār kar dafn kar do tāki maiṅ aur mere bāp kā gharānā un qatloṅ ke jawābdeh na ṭhahreṅ jo us ne bilāwajah kie haiṅ. 32 Rab use un do ādmiyoṅ ke qatl kī sazā de jo us se kahīṅ zyādā sharīf aur achchhe the yānī Isrāīlī fauj kā kamānḍar Abinair bin Nair aur Yahūdāh kī fauj kā kamānḍar Amāsā bin Yatar. Yoāb ne donoṅ ko talwār se mār ḍālā, hālāṅki mere bāp ko is kā ilm nahīṅ thā. 33 Yoāb aur us kī aulād hameshā tak in qatloṅ ke qusūrwār ṭhahreṅ. Lekin Rab Dāūd, us kī aulād, gharāne aur taḳht ko hameshā tak salāmatī atā kare.”
34 Tab Bināyāh ne muqaddas ḳhaime meṅ jā kar Yoāb ko mār diyā. Use Yahūdāh ke bayābān meṅ us kī apnī zamīn meṅ dafnā diyā gayā. 35 Yoāb kī jagah bādshāh ne Bināyāh bin Yahoyadā ko fauj kā kamānḍar banā diyā. Abiyātar kā ohdā us ne Sadoq Imām ko de diyā.
41 Sulemān ko ḳhabar milī ki Simaī Jāt jā kar lauṭ āyā hai. 42 Tab us ne use bulā kar pūchhā, “Kyā maiṅ ne āp ko āgāh karke nahīṅ kahā thā ki yaqīn jāneṅ ki jyoṅ hī āp Yarūshalam se nikleṅge āp ko mār diyā jāegā, ḳhāh āp kahīṅ bhī jānā chāheṅ. Aur kyā āp ne jawāb meṅ Rab kī qasam khā kar nahīṅ kahā thā, ‘Ṭhīk hai, maiṅ aisā hī karūṅga?’ 43 Lekin ab āp ne apnī qasam toṛ kar mere hukm kī ḳhilāfwarzī kī hai. Yih āp ne kyoṅ kiyā hai?” 44 Phir bādshāh ne kahā, “Āp ḳhūb jānte haiṅ ki āp ne mere bāp Dāūd ke sāth kitnā burā sulūk kiyā. Ab Rab āp ko is kī sazā degā. 45 Lekin Sulemān Bādshāh ko wuh barkat detā rahegā, aur Dāūd kā taḳht Rab ke huzūr abad tak qāym rahegā.”
46 Phir bādshāh ne Bināyāh bin Yahoyadā ko hukm diyā ki wuh Simaī ko mār de. Bināyāh ne use bāhar le jā kar talwār se mār diyā. Yoṅ Sulemān kī Isrāīl par hukūmat mazbūt ho gaī.
<- 1 Salātīn 11 Salātīn 3 ->