6 Rahubiyām aur Yarubiyām ke darmiyān kī jang Abiyāh kī hukūmat ke daurān bhī jārī rahī. 7 Bāqī jo kuchh Abiyāh kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. 8 Jab wuh mar kar apne bāpdādā se jā milā to use Yarūshalam ke us hisse meṅ dafn kiyā gayā jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai. Phir us kā beṭā Āsā taḳhtnashīn huā.
16 Yahūdāh ke bādshāh Āsā aur Isrāīl ke bādshāh Bāshā ke darmiyān zindagī-bhar jang jārī rahī. 17 Ek din Bāshā Bādshāh ne Yahūdāh par hamlā karke Rāmā Shahr kī qilābandī kī. Maqsad yih thā ki na koī Yahūdāh ke mulk meṅ dāḳhil ho sake, na koī wahāṅ se nikal sake. 18 Jawāb meṅ Āsā ne Shām ke bādshāh Bin-hadad ke pās wafd bhejā. Bin-hadad kā bāp Tābrimmon bin Hazyūn thā, aur us kā dārul-hukūmat Damishq thā. Āsā ne Rab ke ghar aur shāhī mahal ke ḳhazānoṅ kā tamām bachā huā sonā aur chāṅdī wafd ke sapurd karke Damishq ke bādshāh ko paiġhām bhejā, 19 “Merā āp ke sāth ahd hai jis tarah mere bāp kā āp ke bāp ke sāth ahd thā. Guzārish hai ki āp sone-chāṅdī kā yih tohfā qabūl karke Isrāīl ke bādshāh Bāshā ke sāth apnā ahd mansūḳh kar deṅ tāki wuh mere mulk se nikal jāe.”
20 Bin-hadad muttafiq huā. Us ne apne faujī afsaroṅ ko Isrāīl ke shahroṅ par hamlā karne ke lie bhej diyā to unhoṅ ne Aiyyūn, Dān, Abīl-bait-mākā, tamām Kinnarat aur Naftālī par qabzā kar liyā. 21 Jab Bāshā ko is kī ḳhabar milī to wuh Rāmā kī qilābandī karne se bāz āyā aur Tirzā wāpas chalā gayā.
22 Phir Āsā Bādshāh ne Yahūdāh ke tamām mardoṅ kī bhartī karke unheṅ Rāmā bhej diyā tāki wuh un tamām pattharoṅ aur shahtīroṅ ko uṭhā kar le jāeṅ jin se Bāshā Bādshāh Rāmā kī qilābandī karnā chāhtā thā. Tamām mardoṅ ko wahāṅ jānā paṛā, ek ko bhī chhuṭṭī na milī. Is sāmān se Āsā ne Binyamīn ke shahr Jibā aur Misfāh kī qilābandī kī.
23 Bāqī jo kuchh Āsā kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Yahūdāh kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai. Us meṅ us kī kāmyābiyoṅ aur us ke tāmīr kie gae shahroṅ kā zikr hai. Buṛhāpe meṅ us ke pāṅwoṅ ko bīmārī lag gaī. 24 Jab wuh mar kar apne bāpdādā se jā milā to use Yarūshalam ke us hisse meṅ jo ‘Dāūd kā Shahr’ kahlātā hai ḳhāndānī qabr meṅ dafnāyā gayā. Phir us kā beṭā Yahūsafat us kī jagah taḳhtnashīn huā.
27-28 Ek din jab Nadab Isrāīlī fauj ke sāth Filistī shahr Jibbatūn kā muhāsarā kie hue thā to Ishkār ke qabīle ke Bāshā bin Aḳhiyāh ne us ke ḳhilāf sāzish karke use mār ḍālā aur ḳhud Isrāīl kā bādshāh ban gayā. Yih Yahūdāh ke bādshāh Āsā kī hukūmat ke tīsre sāl meṅ huā.
29 Taḳht par baiṭhte hī Bāshā ne Yarubiyām ke pūre ḳhāndān ko marwā diyā. Us ne ek ko bhī zindā na chhoṛā. Yoṅ wuh bāt pūrī huī jo Rab ne Sailā ke rahne wāle apne ḳhādim Aḳhiyāh kī mārifat farmāī thī. 30 Kyoṅki jo gunāh Yarubiyām ne kie aur Isrāīl ko karne par uksāyā thā un se us ne Rab Isrāīl ke Ḳhudā ko taish dilāyā thā.
31 Bāqī jo kuchh Nadab kī hukūmat ke daurān huā aur jo kuchh us ne kiyā wuh ‘Shāhān-e-Isrāīl kī Tārīḳh’ kī kitāb meṅ darj hai.