16 Agar koī apne bhāī ko aisā gunāh karte dekhe jis kā anjām maut na ho to wuh duā kare, aur Allāh use zindagī atā karegā. Maiṅ un gunāhoṅ kī bāt kar rahā hūṅ jin kā anjām maut nahīṅ. Lekin ek aisā gunāh bhī hai jis kā anjām maut hai. Maiṅ nahīṅ kah rahā ki aise shaḳhs ke lie duā kī jāe jis se aisā gunāh sarzad huā ho. 17 Har nārāst harkat gunāh hai, lekin har gunāh kā anjām maut nahīṅ hotā.
18 Ham jānte haiṅ ki jo Allāh se paidā ho kar us kā farzand ban gayā hai wuh gunāh kartā nahīṅ rahtā, kyoṅki Allāh kā Farzand aise shaḳhs ko mahfūz rakhtā hai aur Iblīs use nuqsān nahīṅ pahuṅchā saktā.
19 Ham jānte haiṅ ki ham Allāh ke farzand haiṅ aur ki tamām duniyā Iblīs ke qabze meṅ hai.
20 Ham jānte haiṅ ki Allāh kā Farzand ā gayā hai aur hameṅ samajh atā kī hai tāki ham use jān leṅ jo haqīqī hai. Aur ham us meṅ haiṅ jo haqīqī hai yānī us ke Farzand Īsā Masīh meṅ. Wuhī haqīqī Ḳhudā aur abadī zindagī hai.
21 Pyāre bachcho, apne āp ko butoṅ se mahfūz rakheṅ!
<- 1 Yūhannā 4