6 Āp kā faḳhr karnā achchhā nahīṅ. Kyā āp ko mālūm nahīṅ ki jab ham thoṛā-sā ḳhamīr tāzā gundhe hue āṭe meṅ milāte haiṅ to wuh sāre āṭe ko ḳhamīr kar detā hai? 7 Apne āp ko ḳhamīr se pāk-sāf karke tāzā gundhā huā āṭā ban jāeṅ. Darhaqīqat āp haiṅ bhī pāk, kyoṅki hamārā Īd-e-Fasah kā lelā Masīh hamāre lie zabah ho chukā hai. 8 Is lie āie ham purāne ḳhamīrī āṭe yānī burāī aur badī ko dūr karke tāzā gundhe hue āṭe yānī ḳhulūs aur sachchāī kī roṭiyāṅ banā kar Fasah kī Īd manāeṅ.
9 Maiṅ ne ḳhat meṅ likhā thā ki āp zinākāroṅ se tālluq na rakheṅ. 10 Merā matlab yih nahīṅ thā ki āp is duniyā ke zinākāroṅ se tālluq munqate kar leṅ yā is duniyā ke lālchiyoṅ, luṭeroṅ aur butparastoṅ se. Agar āp aisā karte to lāzim hotā ki āp duniyā hī se kūch kar jāte. 11 Nahīṅ, merā matlab yih thā ki āp aise shaḳhs se tālluq na rakheṅ jo Masīh meṅ to bhāī kahlātā hai magar hai wuh zinākār yā lālchī yā butparast yā gālī-galoch karne wālā yā sharābī yā luṭerā. Aise shaḳhs ke sāth khānā tak bhī na khāeṅ.
12 Maiṅ un logoṅ kī adālat kyoṅ kartā phirūṅ jo īmāndāroṅ kī jamāt se bāhar haiṅ? Kyā āp ḳhud bhī sirf un kī adālat nahīṅ karte jo jamāt ke andar haiṅ? 13 Bāhar wāloṅ kī adālat to Ḳhudā hī karegā. Kalām-e-muqaddas meṅ yoṅ likhā hai, ‘Sharīr ko apne darmiyān se nikāl do.’
<- 1 Kurinthiyoṅ 41 Kurinthiyoṅ 6 ->- a Lafzī tarjumā: bāp kī bīwī, lekin ġhāliban is se murād sautelī māṅ hai.