Link to home pageLanguagesLink to all Bible versions on this site
4
Ḳhudāwand ke Ḳhādim aur Un kā Kām
1 Ġharz log hameṅ Masīh ke ḳhādim samjheṅ, aise nigarān jinheṅ Allāh ke bhedoṅ ko kholne kī zimmedārī dī gaī hai. 2 Ab nigarānoṅ kā farz yih hai ki un par pūrā etamād kiyā jā sake. 3 Mujhe is bāt kī zyādā fikr nahīṅ ki āp yā koī duniyāwī adālat merā ehtisāb kare, balki maiṅ ḳhud bhī apnā ehtisāb nahīṅ kartā. 4 Mujhe kisī ġhaltī kā ilm nahīṅ hai agarche yih bāt mujhe rāstbāz qarār dene ke lie kāfī nahīṅ hai. Ḳhudāwand ḳhud merā ehtisāb kartā hai. 5 Is lie waqt se pahle kisī bāt kā faislā na kareṅ. Us waqt tak intazār kareṅ jab tak Ḳhudāwand na āe. Kyoṅki wuhī tārīkī meṅ chhupī huī chīzoṅ ko raushnī meṅ lāegā aur diloṅ kī mansūbābandiyoṅ ko zāhir kar degā. Us waqt Allāh ḳhud har fard kī munāsib tārīf karegā.
Kurinthiyoṅ kī Sheḳhībāzī
6 Bhāiyo, maiṅ ne in bātoṅ kā itlāq apne aur Apullos par kiyā tāki āp ham par ġhaur karte hue Allāh ke kalām kī hudūd jān leṅ jin se tajāwuz karnā munāsib nahīṅ. Phir āp phūl kar ek shaḳhs kī himāyat karke dūsre kī muḳhālafat nahīṅ kareṅge. 7 Kyoṅki kaun āp ko kisī dūsre se afzal qarār detā hai? Jo kuchh āp ke pās hai kyā wuh āp ko muft nahīṅ milā? Aur agar muft milā to is par sheḳhī kyoṅ mārte haiṅ goyā ki āp ne use apnī mehnat se hāsil kiyā ho?

8 Wāh jī wāh! Āp ser ho chuke haiṅ. Āp amīr ban chuke haiṅ. Āp hamāre baġhair bādshāh ban chuke haiṅ. Kāsh āp bādshāh ban chuke hote tāki ham bhī āp ke sāth hukūmat karte! 9 Is ke bajāe mujhe lagtā hai ki Allāh ne hamāre lie jo us ke rasūl haiṅ Romī tamāshāgāh meṅ sab se nichlā darjā muqarrar kiyā hai, jo un logoṅ ke lie maḳhsūs hotā hai jinheṅ sazā-e-maut kā faislā sunāyā gayā ho. Hāṅ, ham duniyā, farishtoṅ aur insānoṅ ke sāmne tamāshā ban gae haiṅ. 10 Ham to Masīh kī ḳhātir bewuqūf ban gae haiṅ jabki āp Masīh meṅ samajhdār ḳhayāl kie jāte haiṅ. Ham kamzor haiṅ jabki āp tāqatwar. Āp kī izzat kī jātī hai jabki hamārī be'izzatī. 11 Ab tak hameṅ bhūk aur pyās satātī hai. Ham chīthaṛoṅ meṅ malbūs goyā nange phirte haiṅ. Hameṅ mukke māre jāte haiṅ. Hamārī koī mustaqil rihāishgāh nahīṅ. 12 Aur baṛī mashaqqat se ham apne hāthoṅ se rozī kamāte haiṅ. Lān-tān karne wāloṅ ko ham barkat dete haiṅ, īzā dene wāloṅ ko bardāsht karte haiṅ. 13 Jo hameṅ burā-bhalā kahte haiṅ unheṅ ham duā dete haiṅ. Ab tak ham duniyā kā kūṛā-karkaṭ aur ġhilāzat bane phirte haiṅ.

Paulus Kurinthiyoṅ kā Ruhānī Bāp Hai
14 Maiṅ āp ko sharmindā karne ke lie yih nahīṅ likh rahā, balki apne pyāre bachche jān kar samjhāne kī ġharz se. 15 Beshak Masīh Īsā meṅ āp ke ustād to beshumār haiṅ, lekin bāp kam haiṅ. Kyoṅki Masīh Īsā meṅ maiṅ hī āp ko Allāh kī ḳhushḳhabrī sunā kar āp kā bāp banā. 16 Ab maiṅ tākīd kartā hūṅ ki āp mere namūne par chaleṅ. 17 Is lie maiṅ ne Tīmuthiyus ko āp ke pās bhej diyā jo Ḳhudāwand meṅ merā pyārā aur wafādār beṭā hai. Wuh āp ko Masīh Īsā meṅ merī un hidāyāt kī yād dilāegā jo maiṅ har jagah aur īmāndāroṅ kī har jamāt meṅ detā hūṅ.

18 Āp meṅ se bāz yoṅ phūl gae haiṅ jaise maiṅ ab āp ke pās kabhī nahīṅ āūṅgā. 19 Lekin agar Ḳhudāwand kī marzī huī to jald ā kar mālūm karūṅga ki kyā yih phūle hue log sirf bāteṅ kar rahe haiṅ yā ki Allāh kī qudrat un meṅ kām kar rahī hai. 20 Kyoṅki Allāh kī bādshāhī ḳhālī bātoṅ se zāhir nahīṅ hotī balki Allāh kī qudrat se. 21 Kyā āp chāhte haiṅ ki maiṅ chhaṛī le kar āp ke pās āūṅ yā pyār aur halīmī kī rūh meṅ?

<- 1 Kurinthiyoṅ 31 Kurinthiyoṅ 5 ->