5 Muhabbat badtamīzī nahīṅ kartī na apne hī fāyde kī talāsh meṅ rahtī hai. Yih jaldī se ġhusse meṅ nahīṅ ā jātī aur dūsroṅ kī ġhaltiyoṅ kā rikārḍ nahīṅ rakhtī. 6 Yih nāinsāfī dekh kar ḳhush nahīṅ hotī balki sachchāī ke ġhālib āne par hī ḳhushī manātī hai. 7 Yih hameshā dūsroṅ kī kamzoriyāṅ bardāsht kartī hai, hameshā etamād kartī hai, hameshā ummīd rakhtī hai, hameshā sābitqadam rahtī hai.
8 Muhabbat kabhī ḳhatm nahīṅ hotī. Is ke muqābale meṅ nabuwwateṅ ḳhatm ho jāeṅgī, ġhairzabāneṅ jātī raheṅgī, ilm miṭ jāegā. 9 Kyoṅki is waqt hamārā ilm nāmukammal hai aur hamārī nabuwwat sab kuchh zāhir nahīṅ kartī. 10 Lekin jab wuh kuchh āegā jo kāmil hai to yih adhūrī chīzeṅ jātī raheṅgī. 11 Jab maiṅ bachchā thā to bachche kī tarah boltā, bachche kī-sī soch rakhtā aur bachche kī-sī samajh se kām letā thā. Lekin ab maiṅ bāliġh hūṅ, is lie maiṅ ne bachche kā-sā andāz chhoṛ diyā hai. 12 Is waqt hameṅ āīne meṅ dhundlā-sā dikhāī detā hai, lekin us waqt ham rūbarū dekheṅge. Ab maiṅ juzwī taur par jāntā hūṅ, lekin us waqt kāmil taur se jān lūṅgā, aise hī jaise Allāh ne mujhe pahle se jān liyā hai.
13 Ġharz īmān, ummīd aur muhabbat tīnoṅ qāym rahte haiṅ, lekin in meṅ afzal muhabbat hai.
<- 1 Kurinthiyoṅ 121 Kurinthiyoṅ 14 ->