Link to home pageLanguagesLink to all Bible versions on this site
5
Rūbin kī Aulād
1 Isrāīl kā pahlauṭhā Rūbin thā. Lekin chūṅki us ne apne bāp kī dāshtā se hambistar hone se bāp kī behurmatī kī thī is lie pahlauṭhe kā maurūsī haq us ke bhāī Yūsuf ke beṭoṅ ko diyā gayā. Isī wajah se nasabnāme meṅ Rūbin ko pahlauṭhe kī haisiyat se bayān nahīṅ kiyā gayā. 2 Yahūdāh dīgar bhāiyoṅ kī nisbat zyādā tāqatwar thā, aur us se qaum kā bādshāh niklā. To bhī Yūsuf ko pahlauṭhe kā maurūsī haq hāsil thā.

3 Isrāīl ke pahlauṭhe Rūbin ke chār beṭe Hanūk, Fallū, Hasron aur Karmī the.

4 Yoel ke hāṅ Samāyāh paidā huā, Samāyāh ke Jūj, Jūj ke Simaī, 5 Simaī ke Mīkāh, Mīkāh ke Riyāyāh, Riyāyāh ke Bāl aur 6 Bāl ke Baīrā. Baīrā ko Asūr ke bādshāh Tiglat-pilesar ne jilāwatan kar diyā. Baīrā Rūbin ke qabīle kā sarparast thā. 7 Un ke nasabnāme meṅ us ke bhāī un ke ḳhāndānoṅ ke mutābiq darj kie gae haiṅ, sar-e-fahrist Ya'iyel, phir Zakariyāh 8 aur Bālā bin Azaz bin Samā bin Yoel.

Rūbin kā qabīlā Aroīr se le kar Nabū aur Bāl-maūn tak ke ilāqe meṅ ābād huā. 9 Mashriq kī taraf wuh us registān ke kināre tak phail gae jo Dariyā-e-Furāt se shurū hotā hai. Kyoṅki Jiliyād meṅ un ke rewaṛoṅ kī tādād bahut baṛh gaī thī.

10 Sāūl ke aiyām meṅ unhoṅ ne Hājiriyoṅ se laṛ kar unheṅ halāk kar diyā aur ḳhud un kī ābādiyoṅ meṅ rahne lage. Yoṅ Jiliyād ke mashriq kā pūrā ilāqā Rūbin ke qabīle kī milkiyat meṅ ā gayā.

Jad kī Aulād
11 Jad kā qabīlā Rūbin ke qabīle ke paṛosī mulk Basan meṅ Salkā tak ābād thā. 12 Us kā sarbarāh Yoel thā, phir Sāfam, Yānī aur Sāfat. Wuh sab Basan meṅ ābād the. 13 Un ke bhāī un ke ḳhāndānoṅ samet Mīkāel, Masullām, Sabā, Yūrī, Yākān, Zīa aur Ibar the. 14 Yih sāt ādmī Abīḳhail bin Hūrī bin Yārūh bin Jiliyād bin Mīkāel bin Yasīsī bin Yahdū bin Būz ke beṭe the. 15 Aḳhī bin Abdiyel bin Jūnī in ḳhāndānoṅ kā sarparast thā.

16 Jad kā qabīlā Jiliyād aur Basan ke ilāqoṅ kī ābādiyoṅ meṅ ābād thā. Shārūn se le kar sarhad tak kī pūrī charāgāheṅ bhī un ke qabze meṅ thīṅ. 17 Yih tamām ḳhāndān Yahūdāh ke bādshāh Yūtām aur Isrāīl ke bādshāh Yarubiyām ke zamāne meṅ nasabnāme meṅ darj kie gae.

Dariyā-e-Yardan ke Mashriq meṅ Qabīloṅ kī Jang
18 Rūbin, Jad aur Manassī ke ādhe qabīle ke 44,760 faujī the. Sab laṛne ke qābil aur tajrabākār ādmī the, aise log jo tīr chalā sakte aur ḍhāl aur talwār se lais the. 19 Unhoṅ ne Hājiriyoṅ, Yatūr, Nafīs aur Nodab se jang kī. 20 Laṛte waqt unhoṅ ne Allāh se madad ke lie fariyād kī, to us ne un kī sun kar Hājiriyoṅ ko un ke ittahādiyoṅ samet un ke hawāle kar diyā. 21 Unhoṅ ne un se bahut kuchh lūṭ liyā: 50,000 ūṅṭ, 2,50,000 bheṛ-bakriyāṅ aur 2,000 gadhe. Sāth sāth unhoṅ ne 1,00,000 logoṅ ko qaid bhī kar liyā. 22 Maidān-e-jang meṅ beshumār dushman māre gae. Kyoṅki jang Allāh kī thī. Jab tak Isrāīliyoṅ ko Asūr meṅ jilāwatan na kar diyā gayā wuh is ilāqe meṅ ābād rahe.
Manassī kā Ādhā Qabīlā
23 Manassī kā ādhā qabīlā bahut baṛā thā. Us ke log Basan se le kar Bāl-harmūn aur Sanīr yānī Harmūn ke pahāṛī silsile tak phail gae. 24 Un ke ḳhāndānī sarparast Ifar, Yisaī, Iliyel, Azriyel, Yarmiyāh, Hūdāwiyāh aur Yahdiyel the. Sab māhir faujī, mashhūr ādmī aur ḳhāndānī sarbarāh the.
Mashriqī Qabīloṅ kī Jilāwatanī
25 Lekin yih mashriqī qabīle apne bāpdādā ke Ḳhudā se bewafā ho gae. Wuh zinā karke mulk ke un aqwām ke dewatāoṅ ke pīchhe lag gae jin ko Allāh ne un ke āge se miṭā diyā thā. 26 Yih dekh kar Isrāīl ke Ḳhudā ne Asūr ke bādshāh Tiglat-pilesar ko un ke ḳhilāf barpā kiyā jis ne Rūbin, Jad aur Manassī ke ādhe qabīle ko jilāwatan kar diyā. Wuh unheṅ Ḳhalah, Dariyā-e-Ḳhābūr, Hārā aur Dariyā-e-Jauzān ko le gayā jahāṅ wuh āj tak ābād haiṅ.

<- 1 Tawārīḳh 41 Tawārīḳh 6 ->