Link to home pageLanguagesLink to all Bible versions on this site
27
Fauj ke Guroh
1 Darj-e-zail un ḳhāndānī sarparastoṅ, hazār hazār aur sau sau faujiyoṅ par muqarrar afsaroṅ aur sarkārī afsaroṅ kī fahrist hai jo bādshāh ke mulāzim the.
Fauj 12 gurohoṅ par mushtamil thī, aur har guroh ke 24,000 afrād the. Har guroh kī ḍyūṭī sāl meṅ ek māh ke lie lagtī thī. 2 Jo afsar in gurohoṅ par muqarrar the wuh yih the:
Pahlā māh: Yasūbiyām bin Zabdiyel. 3 Wuh Fāras ke ḳhāndān kā thā aur us guroh par muqarrar thā jis kī ḍyūṭī pahle mahīne meṅ hotī thī.

4 Dūsrā māh: Dodī Aḳhūhī. Us ke guroh ke ālā afsar kā nām Miqlot thā.

5 Tīsrā māh: Yahoyadā Imām kā beṭā Bināyāh. 6 Yih Dāūd ke behtarīn daste banām ‘Tīs’ par muqarrar thā aur ḳhud zabardast faujī thā. Us ke guroh kā ālā afsar us kā beṭā ammīzabad thā.

7 Chauthā māh: Yoāb kā bhāī Asāhel. Us kī maut ke bād Asāhel kā beṭā Zabadiyāh us kī jagah muqarrar huā.

8 Pāṅchwāṅ māh: Samhūt Izrāḳhī.

9 Chhaṭā māh: Īrā bin Aqqīs Taqūī.

10 Sātwāṅ māh: Ḳhalis Falūnī Ifrāīmī.

11 Āṭhwāṅ māh: Zārah ke ḳhāndān kā Sibbakī Hūsātī.

12 Nawāṅ māh: Binyamīn ke qabīle kā Abiyazar Anatotī.

13 Daswāṅ māh: Zārah ke ḳhāndān kā Mahrī Natūfātī.

14 Gyārhwāṅ māh: Ifrāīm ke qabīle kā Bināyāh Fir'ātonī.

15 Bārhwāṅ māh: Ġhutniyel ke ḳhāndān kā Ḳhaldī Natūfātī.

Qabīloṅ ke Sarparast
16 Zail ke ādmī Isrāīlī qabīloṅ ke sarparast the:
Rūbin kā qabīlā: Iliyazar bin Zikrī.
Shamāūn kā qabīlā: Safatiyāh bin Mākā.

17 Lāwī kā qabīlā: Hasbiyāh bin Qamuel. Hārūn ke ḳhāndān kā sarparast Sadoq thā.

18 Yahūdāh kā qabīlā: Dāūd kā bhāī Ilīhū.

Ishkār kā qabīlā: Umrī bin Mīkāel.

19 Zabūlūn kā qabīlā: Ismāyāh bin Abadiyāh.

Naftālī kā qabīlā: Yarīmot bin Azriyel.

20 Ifrāīm kā qabīlā: Hosea bin Azaziyāh.

Maġhribī Manassī kā qabīlā: Yoel bin Fidāyāh.

21 Mashriqī Manassī kā qabīlā jo Jiliyād meṅ thā: Yiddū bin Zakariyāh.

Binyamīn kā qabīlā: Yāsiyel bin Abinair.

22 Dān kā qabīlā: Azarel bin Yarohām.

Yih bārah log Isrāīlī qabīloṅ ke sarbarāh the.

23 Jitne Isrāīlī mardoṅ kī umr 20 sāl yā is se kam thī unheṅ Dāūd ne shumār nahīṅ kiyā, kyoṅki Rab ne us se wādā kiyā thā ki maiṅ Isrāīliyoṅ ko āsmān par ke sitāroṅ jaisā beshumār banā dūṅgā. 24 Nīz, Yoāb bin Zarūyāh ne mardumshumārī ko shurū to kiyā lekin use iḳhtitām tak nahīṅ pahuṅchāyā thā, kyoṅki Allāh kā ġhazab mardumshumārī ke bāis Isrāīl par nāzil huā thā. Natīje meṅ Dāūd Bādshāh kī tārīḳhī kitāb meṅ Isrāīliyoṅ kī kul tādād kabhī nahīṅ darj huī.

Shāhī Milkiyat ke Inchārj
25 Azmāwat bin Adiyel Yarūshalam ke shāhī godāmoṅ kā inchārj thā.
Jo godām dehī ilāqe, bāqī shahroṅ, gāṅwoṅ aur qiloṅ meṅ the un ko Yūnatan bin Uzziyāh saṅbhāltā thā.

26 Azrī bin Kalūb shāhī zamīnoṅ kī kāshtkārī karne wāloṅ par muqarrar thā.

27 Simaī Rāmātī angūr ke bāġhoṅ kī nigarānī kartā jabki Zabdī Shifmī in bāġhoṅ kī mai ke godāmoṅ kā inchārj thā.

28 Bāl-hanān Jadīrī zaitūn aur anjīr-tūt ke un bāġhoṅ par muqarrar thā jo maġhrib ke nashebī pahāṛī ilāqe meṅ the. Yuās zaitūn ke tel ke godāmoṅ kī nigarānī kartā thā.

29 Shārūn ke maidān meṅ charne wāle gāy-bail Sitrī Shārūnī ke zer-e-nigarānī the jabki Sāfat bin Adlī wādiyoṅ meṅ charne wāle gāy-bailoṅ ko saṅbhāltā thā. 30 Obil Ismāīlī ūṅṭoṅ par muqarrar thā, Yahadiyāh Marūnotī gadhiyoṅ par 31 aur Yāzīz Hājirī bheṛ-bakriyoṅ par.

Yih sab shāhī milkiyat ke nigarān the.
Bādshāh ke Qarībī Mushīr
32 Dāūd kā samajhdār aur ālim chachā Yūnatan bādshāh kā mushīr thā. Yihiyel bin Hakmūnī bādshāh ke beṭoṅ kī tarbiyat ke lie zimmedār thā. 33 Aḳhītufal Dāūd kā mushīr jabki Hūsī Arkī Dāūd kā dost thā. 34 Aḳhītufal ke bād Yahoyadā bin Bināyāh aur Abiyātar bādshāh ke mushīr ban gae. Yoāb shāhī fauj kā kamānḍar thā.

<- 1 Tawārīḳh 261 Tawārīḳh 28 ->