6 Yih zimmedāriyāṅ taqsīm karne ke lie Iliyazar aur Itamar kī aulād bārī bārī qurā ḍālte rahe. Qurā ḍālte waqt bādshāh, Isrāīl ke buzurg, Sadoq Imām, Aḳhīmalik bin Abiyātar aur imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ke ḳhāndānī sarparast hāzir the. Mīrmunshī Samāyāh bin Nataniyel ne jo ḳhud Lāwī thā ḳhidmat ke in gurohoṅ kī fahrist zail kī tartīb se likh lī jis tarah wuh qurā ḍālne se muqarrar kie gae.
7 1. Yahūyarīb,
8 3. Hārim,
9 5. Malkiyāh,
10 7. Haqqūz,
11 9. Yashua,
12 11. Iliyāsib,
13 13. Ḳhuffāh,
14 15. Biljā,
15 17. Ḳhazīr,
16 19. Fatahiyāh,
17 21. Yakīn,
18 23. Dilāyāh,
19 Imāmoṅ ko isī tartīb ke mutābiq Rab ke ghar meṅ ā kar apnī ḳhidmat saranjām denī thī, un hidāyāt ke mutābiq jo Rab Isrāīl ke Ḳhudā ne unheṅ un ke bāp Hārūn kī mārifat dī thīṅ.
21 Rahabiyāh kī aulād meṅ se Yissiyāh sarparast thā,
22 Izhār kī aulād meṅ se Salūmīt,
23 Habrūn kī aulād meṅ se baṛe se le kar chhoṭe tak Yariyāh, Amariyāh, Yahziyel aur Yaqamiyām,
24 Uzziyel kī aulād meṅ se Mīkāh,
25 Mīkāh kā bhāī Yissiyāh,
26 Mirārī kī aulād meṅ se Mahlī aur Mūshī,
27 Mirārī ke beṭe Yāziyāh kī aulād meṅ se Sūham, Zakkūr aur Ibrī,
28-29 Mahlī kī aulād meṅ se Iliyazar aur Qīs. Iliyazar beaulād thā jabki Qīs ke hāṅ Yarahmiyel paidā huā.
30 Mūshī kī aulād meṅ se Mahlī, Idar aur Yarīmot bhī Lāwiyoṅ ke in mazīd ḳhāndānī sarparastoṅ meṅ shāmil the.
31 Imāmoṅ kī tarah un kī zimmedāriyāṅ bhī qurā-andāzī se muqarrar kī gaīṅ. Is silsile meṅ sab se chhoṭe bhāī ke ḳhāndān ke sāth aur sab se baṛe bhāī ke ḳhāndān ke sāth sulūk barābar thā. Is kār-rawāī ke lie bhī Dāūd Bādshāh, Sadoq, Aḳhīmalik aur imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ke ḳhāndānī sarparast hāzir the.
<- 1 Tawārīḳh 231 Tawārīḳh 25 ->