5 Fāras ke do beṭe Hasron aur Hamūl the.
6 Zārah ke pāṅch beṭe Zimrī, Aitān, Haimān, Kalkūl aur Dārā the. 7 Karmī bin Zimrī kā beṭā wuhī Akar yānī Akan thā jis ne us lūṭe hue māl meṅ se kuchh liyā jo Rab ke lie maḳhsūs thā. 8 Aitān ke beṭe kā nām Azariyāh thā.
9 Hasron ke tīn beṭe Yarahmiyel, Rām aur Kalūbī yānī Kālib the.
21 60 sāl kī umr meṅ Kālib ke bāp Hasron ne dubārā shādī kī. Bīwī Jiliyād ke bāp Makīr kī beṭī thī. Is rishte se beṭā Sajūb paidā huā. 22-23 Sajūb kā beṭā wuh Yāīr thā jis kī Jiliyād ke ilāqe meṅ 23 bastiyāṅ banām ‘Yāīr kī Bastiyāṅ’ thīṅ. Lekin bād meṅ Jasūr aur Shām ke faujiyoṅ ne un par qabzā kar liyā. Us waqt unheṅ Qanāt bhī gird-o-nawāh ke ilāqe samet hāsil huā. Un dinoṅ meṅ kul 60 ābādiyāṅ un ke hāth meṅ ā gaīṅ. In ke tamām bāshinde Jiliyād ke bāp Makīr kī aulād the. 24 Hasron jis kī bīwī Abiyāh thī faut huā to Kālib aur Ifrātā ke hāṅ beṭā Ashhūr paidā huā. Bād meṅ Ashhūr Taqua Shahr kā bānī ban gayā.
27 Yarahmiyel ke pahlauṭhe Rām ke beṭe Māz, Yamīn aur Eqar the. 28 Onām ke do beṭe Sammī aur Yadā the. Sammī ke do beṭe Nadab aur Abīsūr the. 29 Abīsūr kī bīwī Abīḳhail ke do beṭe Aḳhbān aur Molid paidā hue. 30 Nadab ke do beṭe Silad aur Affāym the. Silad beaulād mar gayā, 31 lekin Affāym ke hāṅ beṭā Yisaī paidā huā. Yisaī Sīsān kā aur Sīsān Aḳhlī kā bāp thā. 32 Sammī ke bhāī Yadā ke do beṭe Yatar aur Yūnatan the. Yatar beaulād mar gayā, 33 lekin Yūnatan ke do beṭe Falat aur Zāzā paidā hue. Sab Yarahmiyel kī aulād the. 34-35 Sīsān ke beṭe nahīṅ the balki beṭiyāṅ. Ek beṭī kī shādī us ne apne Misrī ġhulām Yarḳhā se karwāī. Un ke beṭā Attī paidā huā. 36 Attī ke hāṅ Nātan paidā huā aur Nātan ke Zabad, 37 Zabad ke Iflāl, Iflāl ke Obed, 38 Obed ke Yāhū, Yāhū ke Azariyāh, 39 Azariyāh ke Ḳhalis, Ḳhalis ke Iliyāsā, 40 Iliyāsā ke Sismī, Sismī ke Sallūm, 41 Sallūm ke Yaqamiyāh aur Yaqamiyāh ke Ilīsamā.
46 Kālib kī dāshtā Aifā ke beṭe Hārān, Mauzā aur Jāziz paidā hue. Hārān ke beṭe kā nām Jāziz thā. 47 Yahdī ke beṭe Rajam, Yūtām, Jesān, Falat, Aifā aur Shāf the.
48 Kālib kī dūsrī dāshtā Mākā ke beṭe Shibar, Tirhanā, 49 Shāf (Madmannā kā bāp) aur Siwā (Makbenā aur Jibiyā kā bāp) paidā hue. Kālib kī ek beṭī bhī thī jis kā nām Aksā thā. 50 Sab Kālib kī aulād the.
54 Salmā se zail ke gharāne nikle: Bait-laham ke bāshinde, Natūfātī, Atarāt-bait-yoāb, Mānahat kā ādhā hissā, Sur'ī 55 aur Yābīz meṅ ābād munshiyoṅ ke ḳhāndān Tir'ātī, Sim'ātī aur Sūkātī. Yih sab Qīnī the jo Raikābiyoṅ ke bāp Hammat se nikle the.
<- 1 Tawārīḳh 11 Tawārīḳh 3 ->