Link to home pageLanguagesLink to all Bible versions on this site
15
Yarūshalam meṅ Ahd ke Sandūq ke lie Taiyāriyāṅ
1 Yarūshalam ke us hisse meṅ jis kā nām ‘Dāūd kā Shahr’ paṛ gayā thā Dāūd ne apne lie chand imārateṅ banwāīṅ. Us ne Allāh ke sandūq ke lie bhī ek jagah taiyār karke wahāṅ ḳhaimā lagā diyā. 2 Phir us ne hukm diyā, “Siwāe Lāwiyoṅ ke kisī ko bhī Allāh kā sandūq uṭhāne kī ijāzat nahīṅ. Kyoṅki Rab ne inhīṅ ko Rab kā sandūq uṭhāne aur hameshā ke lie us kī ḳhidmat karne ke lie chun liyā hai.”

3 Is ke bād Dāūd ne tamām Isrāīl ko Yarūshalam bulāyā tāki wuh mil kar Rab kā sandūq us jagah le jāeṅ jo us ne us ke lie taiyār kar rakhī thī. 4 Bādshāh ne Hārūn aur bāqī Lāwiyoṅ kī aulād ko bhī bulāyā. 5 Darj-e-zail un Lāwī sarparastoṅ kī fahrist hai jo apne rishtedāroṅ ko le kar āe.

Qihāt ke ḳhāndān se Ūriyel 120 mardoṅ samet,

6 Mirārī ke ḳhāndān se Asāyāh 220 mardoṅ samet,

7 Jairsom ke ḳhāndān se Yoel 130 mardoṅ samet,

8 Ilīsafan ke ḳhāndān se Samāyāh 200 mardoṅ samet,

9 Habrūn ke ḳhāndān se Iliyel 80 mardoṅ samet,

10 Uzziyel ke ḳhāndān se Ammīnadāb 112 mardoṅ samet.

11 Dāūd ne donoṅ imāmoṅ Sadoq aur Abiyātar ko mazkūrā chhih Lāwī sarparastoṅ samet apne pās bulā kar 12 un se kahā, “Āp Lāwiyoṅ ke sarbarāh haiṅ. Lāzim hai ki āp apne qabāylī bhāiyoṅ ke sāth apne āp ko maḳhsūs-o-muqaddas karke Rab Isrāīl ke Ḳhudā ke sandūq ko us jagah le jāeṅ jo maiṅ ne us ke lie taiyār kar rakhī hai. 13 Pahlī martabā jab ham ne use yahāṅ lāne kī koshish kī to yih āp Lāwiyoṅ ke zariye na huā, is lie Rab hamāre Ḳhudā kā qahr ham par ṭūṭ paṛā. Us waqt ham ne us se dariyāft nahīṅ kiyā thā ki use uṭhā kar le jāne kā kyā munāsib tarīqā hai.” 14 Tab imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ne apne āp ko maḳhsūs-o-muqaddas karke Rab Isrāīl ke Ḳhudā ke sandūq ko Yarūshalam lāne ke lie taiyār kiyā. 15 Phir Lāwī Allāh ke sandūq ko uṭhāne kī lakaṛiyoṅ se apne kandhoṅ par yoṅ hī rakh kar chal paṛe jis tarah Mūsā ne Rab ke kalām ke mutābiq farmāyā thā.

16 Dāūd ne Lāwī sarbarāhoṅ ko yih hukm bhī diyā, “Apne qabīle meṅ se aise ādmiyoṅ ko chun leṅ jo sāz, sitār, sarod aur jhāṅjh bajāte hue ḳhushī ke gīt gāeṅ.” 17 Us zimmedārī ke lie Lāwiyoṅ ne zail ke ādmiyoṅ ko muqarrar kiyā: Haimān bin Yoel, us kā bhāī Āsaf bin Barakiyāh aur Mirārī ke ḳhāndān kā Aitān bin Kausāyāh. 18 Dūsre maqām par un ke yih bhāī āe: Zakariyāh, Yāziyel, Samīrāmot, Yihiyel, Unnī, Iliyāb, Bināyāh, Māsiyāh, Mattitiyāh, Ilīfalehū, Miqniyāh, Obed-adom aur Ya'iyel. Yih darbān the. 19 Haimān, Āsaf aur Aitān gulūkār the, aur unheṅ pītal ke jhāṅjh bajāne kī zimmedārī dī gaī. 20 Zakariyāh, Aziyel, Samīrāmot, Yihiyel, Unnī, Iliyāb, Māsiyāh aur Bināyāh ko alāmūt ke tarz par sitār bajānā thā. 21 Mattitiyāh, Ilīfalehū, Miqniyāh, Obed-adom, Ya'iyel aur Azaziyāh ko Shamīnīt ke tarz par sarod bajāne ke lie chunā gayā.

22 Kananiyāh ne Lāwiyoṅ kī kwāir kī rāhnumāī kī, kyoṅki wuh is meṅ māhir thā.

23-24 Barakiyāh, Ilqānā, Obed-adom aur Yahiyāh ahd ke sandūq ke darbān the. Sabaniyāh, Yūsafat, Nataniyel, Amāsī, Zakariyāh, Bināyāh aur Iliyazar ko turam bajā kar Allāh ke sandūq ke āge āge chalne kī zimmedārī dī gaī. Sātoṅ imām the.

Dāūd Ahd kā Sandūq Yarūshalam meṅ Le Ātā Hai
25 Phir Dāūd, Isrāīl ke buzurg aur hazār hazār faujiyoṅ par muqarrar afsar ḳhushī manāte hue nikal kar Obed-adom ke ghar gae tāki Rab ke ahd kā sandūq wahāṅ se le kar Yarūshalam pahuṅchāeṅ. 26 Jab zāhir huā ki Allāh ahd ke sandūq ko uṭhāne wāle Lāwiyoṅ kī madad kar rahā hai to sāt jawān sānḍoṅ aur sāt menḍhoṅ ko qurbān kiyā gayā. 27 Dāūd bārīk katān kā libās pahne hue thā, aur is tarah ahd kā sandūq uṭhāne wāle Lāwī, gulūkār aur kwāir kā līḍar kananiyāh bhī. Is ke alāwā Dāūd katān kā bālāposh pahne hue thā. 28 Tamām Isrāīlī ḳhushī ke nāre lagā lagā kar, narsinge aur turam phūṅk phūṅk kar aur jhāṅjh, sitār aur sarod bajā bajā kar Rab ke ahd kā sandūq Yarūshalam lāe.

29 Rab kā ahd kā sandūq Dāūd ke shahr meṅ dāḳhil huā to Dāūd kī bīwī Mīkal bint Sāūl khiṛkī meṅ se julūs ko dekh rahī thī. Jab bādshāh kūdtā aur nāchtā huā nazar āyā to Mīkal ne use haqīr jānā.

<- 1 Tawārīḳh 141 Tawārīḳh 16 ->