Link to home pageLanguagesLink to all Bible versions on this site
13
Dāūd Ahd kā Sandūq Yarūshalam meṅ Lānā Chāhtā Hai
1 Dāūd ne tamām afsaroṅ se mashwarā kiyā. Un meṅ hazār hazār aur sau sau faujiyoṅ par muqarrar afsar shāmil the. 2 Phir us ne Isrāīl kī pūrī jamāt se kahā, “Agar āp ko manzūr ho aur Rab hamāre Ḳhudā kī marzī ho to āeṅ ham pūre mulk ke Isrāīlī bhāiyoṅ ko dāwat deṅ ki ā kar hamāre sāth jamā ho jāeṅ. Wuh imām aur Lāwī bhī sharīk hoṅ jo apne apne shahroṅ aur charāgāhoṅ meṅ baste haiṅ. 3 Phir ham apne Ḳhudā ke ahd kā sandūq dubārā apne pās wāpas lāeṅ, kyoṅki Sāūl ke daur-e-hukūmat meṅ ham us kī fikr nahīṅ karte the.”

4 Pūrī jamāt muttafiq huī, kyoṅki yih mansūbā sab ko durust lagā. 5 Chunāṅche Dāūd ne pūre Isrāīl ko junūb meṅ Misr ke Saihūr se le kar shimāl meṅ Labo-hamāt tak bulāyā tāki sab mil kar Allāh ke ahd kā sandūq Qiriyat-yārīm se Yarūshalam le jāeṅ. 6 Phir wuh un ke sāth Yahūdāh ke Bālā yānī Qiriyat-yārīm gayā tāki Rab Ḳhudā kā sandūq uṭhā kar Yarūshalam le jāeṅ, wuhī sandūq jis par Rab ke nām kā ṭhappā lagā hai aur jahāṅ wuh sandūq ke ūpar karūbī farishtoṅ ke darmiyān taḳhtnashīn hai. 7 Qiriyat-yārīm pahuṅch kar logoṅ ne Allāh ke sandūq ko Abīnadāb ke ghar se nikāl kar ek naī bailgāṛī par rakh diyā, aur Uzzā aur Aḳhiyo use Yarūshalam kī taraf le jāne lage. 8 Dāūd aur tamām Isrāīlī gāṛī ke pīchhe chal paṛe. Sab Allāh ke huzūr pūre zor se ḳhushī manāne lage. Jūnīpar kī lakaṛī ke muḳhtalif sāz bhī bajāe jā rahe the. Fizā sitāroṅ, sarodoṅ, dafoṅ, jhāṅjhoṅ aur turamoṅ kī āwāzoṅ se gūṅj uṭhī.

9 Wuh gandum gāhne kī ek jagah par pahuṅch gae jis ke mālik kā nām Kaidūn thā. Wahāṅ bail achānak beqābū ho gae. Uzzā ne jaldī se ahd kā sandūq pakaṛ liyā tāki wuh gir na jāe. 10 Usī lamhe Rab kā ġhazab us par nāzil huā, kyoṅki us ne ahd ke sandūq ko chhūne kī jurrat kī thī. Wahīṅ Allāh ke huzūr Uzzā gir kar halāk huā. 11 Dāūd ko baṛā ranj huā ki Rab kā ġhazab Uzzā par yoṅ ṭūṭ paṛā hai. Us waqt se us jagah kā nām Paraz-uzzā yānī ‘Uzzā par Ṭūṭ Paṛnā’ hai.

12 Us din Dāūd ko Allāh se ḳhauf āyā. Us ne sochā, “Maiṅ kis tarah Allāh kā sandūq apne pās pahuṅchā sakūṅgā?” 13 Chunāṅche us ne faislā kiyā ki ham ahd kā sandūq Yarūshalam nahīṅ le jāeṅge balki use Obed-adom jātī ke ghar meṅ mahfūz rakheṅge. 14 Wahāṅ wuh tīn māh tak paṛā rahā. In tīn mahīnoṅ ke daurān Rab ne Obed-adom ke gharāne aur us kī pūrī milkiyat ko barkat dī.

<- 1 Tawārīḳh 121 Tawārīḳh 14 ->